August - 01

Aaj Ki Hadees
Hadees: Hazrat Mu'az Raziyallahu 'anhu se riwaayat hai ke Rasullullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Jo shakhs ghusse ko pee jaye jabke us mein ghusse ke taqaaza ko pura karne ki taaqat bhi ho (lekin iske baawajood jis par ghussa hai usko koi saza na de) Allah Ta'ala Qayaamat ke din usko saari makhluq ke saamne bulayeingey aur usko ikhtiyaar deingey ki Jannat ki huroon mein se jis ko chaahe apne liye pasand karle. (Abu Dawud: 4777)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

August - 02

Aaj Ki Hadees
Hazrat Imran Bin Husain (Raziyallahu Anhu) se riwayat hai ke Nabi Kareem ﷺ ne irshaad farmaaya: Jis shakhs ne lutmaar ki wo hum mein se nahi hai. (Tirmizi: 1123)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

August - 03

Aaj Ki Hadees
Hadees: Hazrat Abdullah bin Umar (Raziyallahu 'Anhuma) riwaayat karte hain ke Rasulullah ﷺ ne Irshaad farmaaya: Teen Cheezon ko radd nahi karna chahiye (yani koi de to inkaar nahi karna chahiye) Takiya, khushbu aur doodh. (Tirmizi: 2790)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

August - 04

Aaj Ki Hadees
Hadees: Hazrat Ibn Abbas (Raziyallahu 'anhuma) se riwaayat hai ke Rasullullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Meri taraf nisbat karke Hadees bayaan karne mein ehtiyaat karo. Sirf usi Hadees ko bayan karo jiska hadees hona tumhe maloom ho. Jis shakhs ne jaan boojhkar meri taraf ghalat hadees mansoob ki use apna thikaana dozakh mein banalena chaahiye. Jis ne Qur'an-E-Kareem ki tafseer mein apni raaye se kuch kaha use apna thikaana dozakh mein bana lena chaahiye. (Tirmizi: 2951)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

August - 05

Aaj Ki Hadees
Hazrat Imran bin Hussain (Raziyallahu 'Anhuma) farmaate hain ke Maine Rasulullah (Salallahu Alaihi wa Sallam) ko ye Irshaad farmaate hue suna: Jo Shakhs Qur'aan Majeed padhe use Qur'aan ke zariye Allah Ta'ala se hi sawaal karna chahiye, anqareeb aise log aayeingey jo Qur'aan Majeed padheingey aur uske zariye logon se sawaal kareingey. (Tirmizi: 2917)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

August - 06

Aaj Ki Hadees
Hazrat Abdullah bin Umar (Raziyallahu Anhuma) riwaayat karte hain ke Rasulullah (Salallahu 'Alaihi wa Sallam) ne Irshaad farmaaya: Wo Momin jo logon se milta julta ho aur unse pahunchne waali takleefon par sabr karta ho wo us momin se afzal hai Jo logon ke saath mail jol na rakhta ho aur unse pahunchne waali takleefon par sabr na karta ho. (Ibne Maaja: 4032)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

August - 07

Aaj Ki Hadees
Hazrat Abu Umamah Raziyallahu 'anhu farmaate hain ke Rasulullah ﷺ ke Sahaaba ne ek din Aap ﷺ ke saamne duniya ka zikr kiya to Rasulullah ﷺ ne Irshaad farmaya: Ghaur se suno, dhiyaan do. Yaqeenan Saadgi Imaan ka hissa hai, Yaqeenan Saadgi Imaan ka hissa hai. (Abu Dawud: 4161)
 
Faida: Isse muraad takallufaat aur zaib wa zeenat ki cheezon ko chordna hai.

Share on: Email | Telegram | WhatsApp