June - 01

Aaj Ki Hadees
إِنَّ اللهَ رَفِيْقٌ يُّحِبُّ الرِّفْقَ
 
Innallaaha rafeequin yuhibbur rifq
Tarjama: Beshak Allah Ta'ala narm hain aur narmi ko pasand karte hain.
(Bukhari: 6927)

Share on: Email | Telegram | WhatsApp

June - 02

Aaj Ki Hadees
لاَ يَرْحَمُ اللهُ مَنْ لّاَ يَرْحَمُ النَّاسَ
 
Laa yarhamullaahu mallaa yarhamunnaas
Tarjama: Allah Ta'ala aise shakhs par rahem nahin karte jo logon par rahem nahin karta.
(Bukhari: 7376)

Share on: Email | Telegram | WhatsApp

June - 03

Aaj Ki Hadees
مَنْ أَطَاعَنِيْ دَخَلَ الْجَنَّةَ
 
Man ataa'ani dakhalal jannah
Tarjama: Jo shakhs meri itaa'at karega woh Jannat mein daakhil hoga.
(Bukhari: 7280)

Hamare liye Hazrat Muhammad ﷺ ko Rasool maanna zaroori hai.

Aap ﷺ ke tareeqon par chalna zaroori hai.

Jo Aap ﷺ ke tareeqon par chalega woh Jannat mein daakhil hoga.


Share on: Email | Telegram | WhatsApp

June - 04

Aaj Ki Hadees
 
مَنْ لَّمْ يَشْكُرِ النٌَاسَ لَمْ يَشْكُرِاللَّهَ
 
Mallam yashkurinnaasa lam yashkurillaah

Tarjama: Jis ne logon ka shukriya ada nahin kiya us ne Allah ka shukriya ada nahin kiya.

(Tirmizi: 1955)

□ Shukriya ada karna achchhi aadat hai.
□ Agar koi ehsaan Kare to uska shukriya ada karna chaahiye.
□ Na shukri Allah Ta'ala ko na pasand hai.


Share on: Email | Telegram | WhatsApp

June - 05

Aaj Ki Hadees
 
إِذَااسْتَعَنْتَ فَاسْتَعِنْ بِاللهِ
 
Izasta'anta fasta'in billaah

Tarjama: Jab tum madad maango to Allah Ta'ala hi se madad maango.

(Tirmizi: 2516)

Share on: Email | Telegram | WhatsApp

June - 06

Aaj Ki Hadees
لَعَنَ اللَّهُ السَّارِقَ
 
La'anallaahus saariq

Tarjama: Allah Ta'ala chor par laanat farmaata hai.

(Bukhari: 6799)

Chori karn bahot bada gunaah hai.
Chori karne waale se Allah Ta'al bahot naaraaz hote hain.
Chori karne waala har ek ke nazdeek naapasand aur zaleel hota hai.

Share on: WhatsApp

June - 07

Aaj Ki Hadees
 
اَلسَّخِيُّ قَرِيبٌ مِّنَ اللهِ قَرِيبٌ مِّنَ الْجَنَّةِ
 
Assakhiyyu qareebum minallaahi qareebum minal jannah

Tarjama: Sakhi aadmi Allah se qareeb hota hai, Jannat ke qareeb hota hai.

(Tirmizi: 1961)


Share on: Email | Telegram | WhatsApp

June - 08

Aaj Ki Hadees
 
إِذَاسَأَلْتَ فَاسْأَلِ اللهَ
 
Izaa sa'alta fas'alillaah

Tarjama: Tujhe jab kuchh maangna ho to Allah Ta'ala hi se maanga kar.

(Tirmizi: 2516)

Share on: Email | Telegram | WhatsApp

June - 09

Aaj Ki Hadees
 
لَعَنَ رَسُوْلُ اللهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ الرَّاشِيَ وَالْمُرْتَشِيَ
 
La'ana rasoolullaahi sallallaahu 'alaihi wasallam arraashiya walmurtashee

Tarjama: Rasoolullah ﷺ ne rishwat dene aur lene waale par laanat farmaai hai.

(Abu Dawud: 3580)


Share on: Email | Telegram | WhatsApp

June - 10

Aaj Ki Hadees
 
لاَ تَسُبَّنَّ أَحَدًا
 
Laa tasubbanna ahadaa

Tarjama: Hargiz kisi ko gaali mat do.

(Abu Dawood: 4084)

◇ Kisi ko gaali dena bahot bada gunaah hai.
◇ Gaali dene se Allah Ta'ala naaraaz hota hai.
◇ Gaali dene waalon se log nafrat karte hain.


Share on: Email | Telegram | WhatsApp

June - 11

Aaj Ki Hadees
 
إِيَّاكُمْ وَالْكِذْبَ
 
Iyyaakum walkizb

Tarjama: Jhoot se bacho.

(Abu Dawud: 4989)

Share on: Email | Telegram | WhatsApp

June - 12

Aaj Ki Hadees
 
مَنِ انْتَهَبَ نُهْبَةً فَلَيْسَ مِنَّا
 
Manintahaba nuhbatan falaisa minnaa

Tarjama: Jo kisi doosre ki cheez chheen kar le woh ham (musalmaanon) mein se nahin.
(Ibn-e-Maaja: 3937)

Share on: Email | Telegram | WhatsApp

June - 13

Aaj Ki Hadees
أَحْسَنُ الْكَلاَمِ كَلاَمُ اللهِ
 
Ahsanul kalaami kalaamullaah

Tarjama: Sab se achchha kalaam Allah ka kalaam hai.

(Nasai: 1311)

Share on: Email | Telegram | WhatsApp

June - 14

Aaj Ki Hadees
إِنَّ الْغَضَبَ مِنَ الشَّيْطَانِ
 
Innal gazaba minash shaitaan

Tarjama: Beshak gussa shaitaan ki taraf se hota hai.

(Abu Dawud: 4784)

Share on: Email | Telegram | WhatsApp

June - 15

Aaj Ki Hadees
أَلدَّالُّ عَلَى الْخَيْرِ كَفَاعِلِهِ
 
Addaallu alalkhairi kafaailihi

☆ Tarjama: Neki (bhalaai) ki raah bataane waala neki karne waale ki tarah hai. (Tirmizi: 2670)

Share on: Email | Telegram | WhatsApp

June - 16

Aaj Ki Hadees
مَنْ أَقَالَ مُسْلِمًا أَقَالَهُ اللَّهُ عَثْرَتَهُ
 
Hadees: Man aqaala musliman aqaalahul allahu asratahu

Tarjama: Jo shakhs kisi musalmaan ki bechi ya khareedi hui cheez ki waapsi par raazi ho jaaye to Allah Ta'ala us ke gunaah maaf kardega

(Abu Daawood: 3460)

Share on: Email | Telegram | WhatsApp

June - 17

Aaj Ki Hadees
السَّلاَمُ قَبْلَ الْكَلاَمِ
 
Assalaamu qablal kalaam

Tarjama: Baat karne se pehle Salaam karo.

(Tirmizi: 2699)

Share on: Email | Telegram | WhatsApp

June - 18

Aaj Ki Hadees
 
لاَ تُمَارِ أَخَاكَ
 
Laa tumaari akhaak

Tarjama: Apne bhaai ke saath jhagda na karo.

(Tirimizi: 1995)

Islam ladaayi jhagde ko naapasand karta hai.
  Ladaayi jhagda karne waale se sab log door bhaagte hain.
Ladaayi jhagde se bachne waale ko log pasand karte hain.

Share on: Email | Telegram | WhatsApp

June - 19

Aaj Ki Hadees
اَلدُّعَاءُ مُخُّ الْعِبَادَةِ
 
Addu'aau mukhkhul 'ibaadah

Tarjama: Dua Ibaadat ka magz hai.

(Tirmizi: 3371)

▫Allah Ta'ala se dua maangna Ibaadat aur sawaab ka kaam hai.
▫Allah Ta'ala ne Qur'an-e-Kareem mein dua maangne ka hukm diya hai.
▫Har achchhe kaam se pehle Allah Ta'ala se dua karna chaahiye.

Share on: Email | Telegram | WhatsApp

June - 20

Aaj Ki Hadees
 
مِفْتَاحُ الْجَنَّةِ الصَّلاَةُ
 
Miftaahul jannatis salaah

Tarjama: Jannat ki kunji (chaabi) Namaaz hai.

(Tirmizi: 4)

Share on: Email | Telegram | WhatsApp

June - 21

Aaj Ki Hadees
مَنْ غَشَّ فَلَيْسَ مِنَّا
 
Man gashsha falaisa minnaa

Tarjama: Jo dhoka de woh ham (musalmaanon) mein se nahin.

(Tirmizi: 1315)

Share on: Email | Telegram | WhatsApp

June - 22

Aaj Ki Hadees
 
اِتَّقِ اللهَ حَيْثُمَا كُنْتَ
 
Ittaqillaaha haisuma kunta

Tarjama: Tum jahaan kaheein raho Allah se darte raho.

(Tirmizi: 1987)

Share on: Email | Telegram | WhatsApp

June - 23

Aaj Ki Hadees
 
لاَ يَدْخُلُ الْجَنَّةَ خِبٌّ وٌَلاَ مَنَّانٌ وٌَلاَ بَخِيْلٌ
 
Laa yadkhulul jannata khabbunw walaa mannaanuw walaa bakheel.

Tarjama: Dhoke baaz, ehsaan jatlaane waala aur kanjoos, Jannat mein daakhil nahin hoga.

(Trimizi: 1963)

Share on: Email | Telegram | WhatsApp

June - 24

Aaj Ki Hadees
 
أَكْمَلُ الْمُؤْمِنِيْنَ إِيْمَانًا أَحْسَنُهُمْ خُلُقًا
 
Akmalul mu'mineena imaanan ahsanuhum khuluqan

Tarjama: Imaan waalon mein sab se kaamil Imaan waala woh shakhs hai jis ke akhlaaq sab se achchhe hon.

(Tirmizi: 1162)

Share on: Email | Telegram | WhatsApp

June - 25

Aaj Ki Hadees
 
اَلتَّاجِرُ الصَّدُوْقُ الْأَمِيْنُ مَعَ النَّبِيِّيْنَ وَالصِّدِّيْقِيْنَ وَالشُّهَدَاءِ
 
Attaajirus sadooqul ameenu ma'annabiyyeena wassiddeeqeena wash-shuhadaa

Tarjama: Sachcha amaanatdaar taajir ambiya, Siddeeqeen aur Shuhada ke saath hoga.

(Tirmizi: 1209)

Share on: Email | Telegram | WhatsApp

June - 26

Aaj Ki Hadees
رِضَى الرَّبِّ فِيْ رِضَى الْوَالِدِ
 
Rizar rabbi fee rizal waalid

Tarjama: Allah Ta'ala ki khushi waalid ki khushi mein hai.

(Tirmizi: 1899)

Share on: Email | Telegram | WhatsApp

June - 27

Aaj Ki Hadees
إِنَّمَا الْأَعْمَالُ بِالنِّيَّاتِ
 
Innamal a'amaalu binniyyaat

Tarjama: Aamaal ka daar-o-madaar niyyaton par hai.

(Bukhari: 1)

Share on: Email | Telegram | WhatsApp

June - 28

Aaj Ki Hadees
 
أَلْحَيَاءُ شُعْبَةٌ مِّنَ الْإِيْمَانِ
 
Al Hayaau shu'abatum minal imaan

Tarjama: Haya Imaan ki ek ahem shaakh hai.

(Bukhari: 9)


Share on: Email | Telegram | WhatsApp

June - 29

Aaj Ki Hadees
مَنْ سَتَرَ مُسْلِمًا سَتَرَهُ اللهُ يَوْمَ الْقِيَامَةِ
 
Man satara musliman satarahullaahu yaumal qiyaamah

Tarjama: Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Jo shakhs kisi musalmaan ke aib ko chupaata hai Allah Ta'ala Qayaamat ke din us ke aib ko chupaayega.

(Bukhari: 2442)

Share on: Email | Telegram | WhatsApp

June - 30

Aaj Ki Hadees
خَيْرُكُمْ مَنْ تَعَلَّمَ الْقُرْآنَ وَعَلَّمَهُ
 
Khairukum man ta'allamal Qur'aana wa 'allamah

Tarjama: Tum mein sab se behtar woh hai jo Qur'aan ko seekhe aur sikhaaye.

(Bukhaari: 5027)

Qur'an-e-Kareem duniya ki sab se achchhi kitaab hai, is mein achchi achchi baatein aur qisse hain. Jin ko padh kar insaan ko sukoon milta hai, aur us par amal karne se duniya-o-aakhirat mein kaamyaabi milti hai, jo aadmi Qur'aan padhta aur padhaata hai, woh sab se achchha aadmi hai.

Share on: Email | Telegram | WhatsApp