May - 01

Aaj Ki Hadees
Hadees: Rasulullah ﷺ ne farmaaya: Allah Ta'ala ne paanch namaazein farz ki hain, jo shakhs achchhi tarah wuzu kare aur waqt par namaaz padhe, ruku bhi achchhi tarah kare aur khushu se padhe to Allah ke zimme hai ke woh us ki magfirat kare aur jo aisa na kare us ki Allah par koi zimmedaari nahin, chaahe magfirat kare chaahe azaab de. (Abu Dawood: 425)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

May - 02

Aaj Ki Hadees
Hadees: Rasullulah ﷺ ne farmaaya: Sirf 2 aadmi qaabil-e-rashk hain "Ek woh jis ko Allah ne Qur'an ki nemat ata farmaai phir woh din raat us mein laga rehta hai. Aur doosra woh khush naseeb aadmi jis ko Allah ne maal-o-daulat se nawaaza aur woh din raat us ko raahe khuda mein kharch karta rehta hai." (Bukhari: 7529)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

May - 03

Aaj Ki Hadees
Hadees: Hazrat Abdullah bin Umar (Raziyallahu 'Anhuma) riwaayat karte hain ke Rasulullah ﷺ ne Irshaad farmaaya: Teen Cheezon ko radd nahi karna chahiye (yani koi de to inkaar nahi karna chahiye) Takiya, khushbu aur doodh. (Tirmizi: 2790)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

May - 04

Aaj Ki Hadees
Hadees: Huzoor ﷺ ne farmaaya: koi shakhs us waqt tak momin nahin ho sakta, jab tak ke woh apne musalmaan bhaai ke liye wahi pasand na kare jo apne liye pasand karta hai. (Bukhari: 13)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

May - 05

Aaj Ki Hadees
Hadees: Rasoolallah (Sallallahu-'Alaihi-Wa-Sallam) ne farmaaya: Ek Musalmaan ke doosre Musalmaan par 6 huqooq hain:
 
1) Jab mulaaqat ho to us ko Salaam Kare.
2) Jab daawat de to us ki daawat ko qubool kare.
3) Jab use chheenk aaye (aur Alhamdulillah kahe) to us ke jawaab mein Yarhamukallaah Kahe.
4) Jab beemar ho to us ki ayaadat kare.
5) Jab intiqaal ho jaaye to us ke janaaze ke saath jaaye.
6) Aur us ke liye wahi pasand kare jo apne liye pasand karta ho.
(Ibn-e-maajah: 1433)

Share on: Email | Telegram | WhatsApp

May - 06

Aaj Ki Hadees
Hadees: Hazrat Bara Bin 'Azib Raziyallahu 'anhuma se riwaayat hai ke Rasulullah ﷺ saf mein ek kinaare se dusre kinaare tak tashreef laate, humare sinon aur kaandhon par haath mubaarak phair kar safon ko seedha farmaate aur irshaad farmaate: (Safon mein) aage peeche na raho, agar aisa hua to tumhare dilon mein ek dusre se ikhtilaaf paida ho jayega aur farmaaya karte: Allah Ta'ala agli saf waalon par rehmatein naazil farmaate hain aur unke liye farishte maghfirat ki dua karte hain. (Abu Dawud: 664)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

May - 07

Aaj Ki Hadees
Hadees: Hazrat Bara Bin 'Azib Raziyallahu 'anhuma riwaayat karte hain ke Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Allah Ta'ala agli safon se qareeb saf waalon par rehmat naazil farmaate hain aur uske farishte unke liye dua karte hain. Allah Ta'ala ko us qadam se zyaada koi qadam mehboob nahin, jisko insaan saf ki khaali jagah ko pur karne ke liye uthhaata hai. (Abu Dawud: 543)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

May - 08

Aaj Ki Hadees
Hadees: Huzoor ﷺ ne farmaaya: Tum log zameen waalon par rahem karo, aasmaan waala rab tum par rahem karega. (Abu Dawood: 4941)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

May - 09

Aaj Ki Hadees
Hadees: Hazrat Atiyya Raziyallahu 'anhu riwaayat karte hain ke Rasullullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Ghussa shaitan (ke asar se) hota hai. Shaitan ki paidaish aag se hui hai aur aag paani se bujhayi jaati hai lehaza jab tum mein se kisi ko ghussa aaye to usko chahiye ke wazu karle. (Abu Dawud: 4784)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

May - 10

Aaj Ki Hadees
Hadees: Hazrat A'ishah Raziyallahu 'anha riwaayat karti hain ke Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Allah Ta'ala safon ke daayein jaanib khade hone waalon par rehmat naazil farmaate hain aur farishte unke liye maghfirat ki dua karte hain. (Abu Dawud: 676)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

May - 11

Aaj Ki Hadees
Hazrat Abu Hurairah Raziyallahu Anhu se riwaayat hai ke maine Rasulullah ﷺ ko ye irshaad farmaate hue suna: Meri Ummat Qayamat ke din is haal mein bulaayee jaayegi ke unke haath paon aur chehre wuzu mein dhulne ki wajahse raoshan aur chamakdaar hongey. Lihaaza jo shakhs apni raoshni badhana chahe, to use chahiye ke wo ise badhaaye. (Bukhari: 136)
 
Faida: Matlab ye hai ke wuzu is ehtemaam se kiya jaye ke azaa-e-wazu mein koi jagah khushk na rahe.

Share on: Email | Telegram | WhatsApp

May - 12

Aaj Ki Hadees
Huzoor ﷺ ne farmaaya: Aapas mein hadiya liya diya Karo, kyun ke hadiya aur tohfa dilon se keene ko khatm kar deta hai. (Tirmizi: 2130)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

May - 13

Aaj Ki Hadees
Rasullulah ﷺ ne farmaaya: Khade ho kar Namaaz padho, agar khade hone ki taaqat na ho to baithh kar padho aur agar baithh kar padhne ki bhi taaqat na ho to karwat par let kar padho. (Tirimizi: 372)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

May - 14

Aaj Ki Hadees
Hazrat Anas Raziyallahu 'anhu se riwaayat hai ke Nabi Kareem ﷺ ne irshaad farmaaya: Apni safon ko seedha kiya karo, kyunki Namaaz ko achchhi tarah adaa karne mein safon ko seedha karna shaamil hai. (Bukhari: 723)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

May - 15

Aaj Ki Hadees
Hazrat Abu Hurairah Raziyallahu 'anhu riwaayat karte hain ke Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Aadmi ka jamaat se namaaz padhna apne ghar aur baazar mein namaaz padhne se pachees (25) darje zyaada sawaab rakhta hai. (Bukhari: 647)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

May - 16

Aaj Ki Hadees
Rasullulah ﷺ ne irshaad farmaaya: Jab tum mein se koi so kar uthe, to bartan mein haath daalne se pehle haathon ko dhole. (Bukhari: 162)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

May - 17

Aaj Ki Hadees
Hazrat Abu Hurairah (Raziyallahu 'anhu) se riwaayat hai ke Nabi Kareem ﷺ ne irshaad farmaaya: Imaan ye hai ki tum Allah Ta'ala ko uske farishton ko aur (aakhirat mein) Allah Ta'ala se milne ko aur uske Rasoolon ko haq jaano aur haq maano (aur mout ke baad dubaara) uthaye jaane ko haq jaano aur haq maano. (Bukhari: 50)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

May - 18

Aaj Ki Hadees
Huzoor ﷺ ne farmaaya ke jis shakhs ne Qur'aan padha, phir us ko zabaani yaad kiya aur us ke halaal ko halaal aur haraam ko haraam jaana to Haq Ta'ala Shaanuhu us ko Jannat mein daakhil farmaaeinge aur us ke gharaane mein se aise das aadmiyon ke baare mein us ki shafa'at qubool farmaaeinge jin ke liye Jahannam waajib ho chuki ho. (Tirmizi: 2905)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

May - 19

Aaj Ki Hadees
Rasoolullah ﷺ ka irshaad hai ke jo shakhs 2 namaazon ko bagair kisi uzr ke ek waqt mein padhe, woh kabeera gunaahon ke darwaazon mein se ek darwaazeh par pahonch gaya. (Tirmizi: 188)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

May - 20

Aaj Ki Hadees
Hazrat Anas (Raziyallahu 'anhu) farmaate hain ke maine Nabi Kareem ﷺ ko ye irshaad farmaate hue suna: Jab Qayaamat ka din hoga to mujhe shafaat ki ijaazat di jayegi. Main arz karunga: Aye mere Rabb! jannat mein har us shakhs ko daakhil farmaa dijiye jiske dil mein raaee ke daane ke baraabar bhi (imaan) ho, (Allah Ta'ala meri is shafaat ko qubool farmaalenge) aur woh log jannat mein daakhil hojayeingey. Phir main arz karunga jannat mein har us shakhs ko daakhil farmaa dijiye jis ke dil mein zaraasa bhi (imaan) ho. (Bukhari: 7509)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

May - 21

Aaj Ki Hadees
Huzoor ﷺ ne irshaad farmaaya: Jo (maalik) apne gulaam par tohmat lagaaye; haalaanke woh gulaam begunaah hai, to qayaamat ke din us maalik ko had ke taur par kode maare jaaenge. (Abu Daaood: 5165)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

May - 22

Aaj Ki Hadees
♡ Hadees: Huzoor (Sallallahu-'Alaihi-Wa-Sallam) ne farmaaya tum mere tareeqe aur mere hidaayat yaafta khulafaa-e-Raashideen ke tareeqe ko laazim pakdo, mazbooti ke saath us par jame raho aur daanton se us ko dabaaye rakho. (Abu Dawud: 4607)
 
☆ Sahaaba-e-Kiraam (Raziyallahu 'Anhum) is Ummat ke sab se afzal log hain, woh hamaare rahbar aur rehnuma hain, un ki zindagi badi paakeeza aur shareeat ke mutaabiq thi, Rasoolullah (Sallallahu-'Alaihi-Wa-Sallam) jo hukm dete woh log fauran us ko baja laate, Islam ke khilaaf koi amal un ko gawaarah na tha, agar koi kaam shareeat ke khilaaf dekhte to fauran us par nakeer karte the. Sahaaba mein Hazrat Abu bakar (Raziyallahu 'Anhu), Hazrat Umar (Raziyallahu 'Anhu), Hazrat Usman aur Hazrat Ali (Raziyallahu 'Anhu) ka martaba bahot buland tha, yahi chaaron Aap (Sallallahu-'Alaihi-Wa-Sallam) ke baad khaleefa bane, unhon ne apni zimmedaariyan bade achchhe dhhang se nibhaayein, saltanat ka bahot achchha intizaam kiya, Allah ke sachche Deen ko saari duniya mein phailaane ki koshish ki, woh makhlooq ke saath shafqat narmi aur hamdardi ka muaamla karte the, khud bhi Islam ke ek ek hukm par amal karte aur doosron ko bhi amal karaate the, hamein chaahiye ke un ki seeraton ko padhein taake hamein un ki zindagi ke haalaat maaloom hon aur us ki rehnumaai mein zindagi guzaar sakein.

Share on: Email | Telegram | WhatsApp

May - 23

Aaj Ki Hadees
Rasoolullah ﷺ ka farmaan hai: Jo shakhs yeh chaahe ke us ki rozi mein badhotri (aur barkat) ho aur us ki umar lambi ho, us ko chaahiye ke apne rishtedaaron ke Saath achchha bartaao kare. (Bukhaari: 2067)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

May - 24

Aaj Ki Hadees
Rasulullah ﷺ ne farmaaya: Jis ne jis qaum ke sath mushaabehat ikhtiyaar ki woh unheen mein se hai. (Abu Dawood: 4031)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

May - 25

Aaj Ki Hadees
Huzoor ﷺ ne ek martaba apne ek khwaab ka zikr kiya jis mein jhoote aadmi par hone waale azaab ka zikr karte huwe farmaaya: Phir ham aise shakhs ke paas pahonche jo leta huwa tha aur us ke sar ki taraf ek aur shakhs tha, jo lohe ki kainchi se us ke jabde aur aankhein guddi tak kaat raha tha. Jab ek taraf kaat leta, to doosri taraf kaat'ta tha, abhi ek taraf poori taur par kaat bhi nahin paata ke doosri taraf sahi ho jaata. Main ne (apne saath maujood 2 farishton se) poochha: Yeh kaon hain? Unhon ne bataaya ke yeh shakhs jhoot bolta tha (usi ki saza di jaarahi hai) is ke saath qayaamat tak yahi muaamla hota rahega. (Bukhaari: 1386)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

May - 26

Aaj Ki Hadees
Jab banda jhoot bolta hai, to farishta us ke jhoot ki badbu ki wajaah se ek meel door chala jaata hai. (Tirmizi: 1972)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

May - 27

Aaj Ki Hadees
Rasoolullah ﷺ ne farmaaya: Tum mein se koi shakhs us waqt tak Kaamil momin nahin ho sakta jab tak ke main us ke nazdeek us ke waalidain, bachchon aur tamaam logon se ziyaada mahboob na ho jaaoon. (Bukhari: 15)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

May - 28

Aaj Ki Hadees
Rasullulah ﷺ ka irshaad hai: 7 mohlik aur tabaahkun gunaahon se bacho, Sahaaba (Raziyallahu Anhum) ne arz kiya: Ya Rasullulah! Woh kaun se 7 gunaah hain? Aap ne irshaad farmaaya: 
 
1) Allah ke saath (us ki zaat ya sifaat ya af'aal mein kisi ko) shareek karna aur
2) Jaadu karna
3) Naahaq kisi aadmi ko qatl karna aur
4) Sood khaana, aur
5) Yateem ka maal khaana aur
6) (Apni jaan bachaane ke liye) Jihaad mein Lashkar-e-Islam ka saath chhod kar bhaag jaana aur
7) Allah ki paak daaman bholi bhaali bandiyon par zina ki tohmat lagaana.
Reference: (Bukhari: 2766)


Share on: Email | Telegram | WhatsApp

May - 29

Aaj Ki Hadees
Rasoolullah ﷺ ne irshaad farmaaya ke meri ummat mein se 70,000 bagair hisaab ke Jannat mein jaaeinge. Woh woh bandagaane khuda honge jo mantar nahi karaate, shugoone bad nahin lete aur apne parwardigaar par tawakkul karte hain. (Bukhaari: 6472)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

May - 30

Aaj Ki Hadees
Rasoolullah ﷺ ne farmaaya: Beshak (Lafz) "Rahim" (Jis ke maani rishtedaari ke hain) Allah Ta'ala ke naam "Rahmaan" se liya gaya hai. {Yaani yeh rishtedaari Rahmaan ki rehmat ki ek shaakh hai, (aur isi nisbat se)} Allah Ta'ala ne is se farmaaya: Jo tujhe jodega main use jodoonga, aur jo tujhe todega main use todoonga. (Bukhari: 5988)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp