March - 01

Aaj Ki Hadees
Hazrat Umme Salma Raziyallahu 'anha riyaayat karti hain ki Allah ke Rasool ﷺ ne irshaad farmaaya: Jis Aurat ka is haal mein inteqaal ho ki uska shohar usse raazi ho to wo jannat mein jayegi. (Tirmizi: 1161)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

March - 02

Aaj Ki Hadees
Hadees: Hazrat Waasila Bin Aqsa Raziyallahu 'Anhu riwayat karte hain ke Rasool Allah ﷺ ne Irshaad farmaya: Tum apne bhai ki kisi musibat par khushi ka izhaar na kiya karo hosakta hai ke Allah Ta'ala us par rahem farmakar usko is museebat se nijaat de dein aur tum ko museebat mein mubtela kardein. (Tirmizi: 2506)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

March - 03

Aaj Ki Hadees
Hadees: Hazrat Ibn 'Abbas Raziyallahu 'anhuma farmate hain ke maine Rasool Allah ﷺ ko ye irshaad farmate hue suna: Jo musalman kisi musalman ko kapda pehnata hai to jab tak pehenne wale ke badan par is kapde ka ek bhi tukda rehta hai pehnane waala Allah Ta'ala ki hifazat mein rehta hai. (Tirmizi: 2484)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

March - 04

Aaj Ki Hadees
Hadees: Hazrat Mu'az Bin Jabal Raziyallahu 'anhu riwayat karte hain ke Rasool Allah ﷺ ne irshaad farmaya: Jis shakhs ne apne (Musalman) bhai ko kisi aise gunah par aar dilayi jisse wo tauba kar chuka ho to wo us waqt tak nahi marega jab tak khud us gunah mein mubtela na hojaye. (Tirmizi: 2505)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

March - 05

Aaj Ki Hadees
Hadees: Hazrat Anas raziyallahu 'anhu riwaayat karte hain ke Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Imaan ki halaawat usi ko naseeb hogi jis mein teen baatein payi jaayeingi. Ek ye ke Allah Ta'ala aur uske Rasool ki Mohabbat us ke dil mein sabse zyaada ho. Doosre ye ki jis shakhs se bhi mohabbat ho sirf Allah Ta'ala hi keliye ho. Teesre ye ke Imaan ke baad kufr ki taraf palatne se usko itni nafrat aur aisi azziat ho jaisi ki aag mein daale jaane se hoti hai. (Bukhari: 16)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

March - 06

Aaj Ki Hadees
Hazrat Malik Raziyallahu 'anhu se riwayat hai ke Rasool Allah ﷺ ne irshaad farmaaya: Woh do bhooke bhediye jinhe bakriyon ke reward mein chord diya jaye bakriyon ko utna nuqsaan nahi pahunchate jitna aadmi ke deen ko, maal ki hiris aur bada banne ki chahat nuqsan pahunchati hai. (Tirmizi: 2376)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

March - 07

Aaj Ki Hadees
Hazrat Ibn Abbas Raziyallahu 'anhuma farmaate hain ke Rasool Allah ﷺ ne irshaad farmaaya: Woh shakhs humari itteba'a karne waalon mein se nahi hai jo humare chhoton par shafaqat na kare, humare badon ka ehteram na kare, naiki ka hukm na kare aur burai se mana na kare. (Tirmizi: 1921)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

March - 08

Aaj Ki Hadees
Hadees: Hazrat 'Arfajah Bin Shareeh Ashja'i Raziyallahu 'anhu riwayat karte hain ke Rasool Allah ﷺ ne irshaad farmaaya: Allah Ta'ala ka haath jamaat par hota hai (yani Allah Ta'ala ki khaas madad jamaat ke saath hoti hai) lehazaa jo shakhs jamaat se alheda ho jaata hai shaitaan us ke saath hota hai aur use uksata rahta hai. (Nasa'i: 4025)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

March - 09

Aaj Ki Hadees
Hazrat Ibn Abbas Raziyallahu 'anhuma se riwayat hai ke Nabi Kareem ﷺ ne irshaad farmaaya: Apne bhai se jhagda na karo aur na usse aisa mazaaq karo (jisse usko takleef pahunche) aur na aisa waada karo jisko poora na karsako. (Tirmizi: 1995)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

March - 10

Aaj Ki Hadees
Hazrat Abdullah Raziyallahu 'anhu farmate hain ke maine Rasool Allah ﷺ ko Namaz padhte dekha Aap ﷺ ke Mubarak Seene se rone ki awaaz (saans rukne ki wajah se) aisi musalsal aarahi thi jaise chakki ki awaaz hoti hai. (Abu Dawud: 904)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

March - 11

Aaj Ki Hadees
Hazrat Mu'awiyah bin Hidah Raziyallahu 'anhu farmate hain ke maine Rasool Allah ﷺ ko ye irshaad farmate hue suna; us shakhs keliye barbadi hai jo logon ko hasane keliye jhoot bole. Us keliye tabahi hai, us keliye tabahi hai. (Tirmizi: 2315)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

March - 12

Aaj Ki Hadees
Hazrat Abu Mas'ud Badri Raziyallahu 'anhu se riwayat hain ke Rasool Allah ? ne irshaad farmaaya: Jis shakhs ne bhalayi ki taraf rehnumayi ki use bhalayi karne waale ke barabar sawab milta hai. (Abu Dawud: 5129)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

March - 13

Aaj Ki Hadees
Hazrat Anas Raziyallahu 'anhu se riwaayat hai ke Sahaba ke nazdeek koi shakhs bhi Rasool Allah ﷺ se zyaada mehboob nahi tha. Iske bawajood wo Rasool Allah ﷺ ko dekh kar khade nahi hote the kyunke wo jaante the Aap ﷺ isko na pasand farmaate hain. (Tirmizi: 2754)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

March - 14

Aaj Ki Hadees
Rasulullah ﷺ ne farmaaya: Jo shakhs hamaare badon ki Izzat na kare aur Chhoton par shafqat na kare woh ham mein se nahin. (Tirmizi: 1919)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

March - 15

Aaj Ki Hadees
Hazrat Abu Barza Aslami Raziyallahu 'anhu farmaate hain ke Rasullulah ﷺ ne irshaad farmaaya: Qayaamat ke din Aadmi ke dono qadam us waqt tak (hisab ki jagah se) nahi hat sakte jab tak us se in cheezon ke baare mein pooch na liya jaye: Apni umar kis kaam mein kharch ki? Apne ilm par kya amal kiya? Maal kahan se kamaya aur kahan kharch kiya? Apni jismani quwwat kis kaam mein lagai? (Tirmizi: 2417)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

March - 16

Aaj Ki Hadees
Hazrat Anas bin Malik (Raziyallahu Anhu) se riwaayat hai ke Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Jab Jannat ke baaghon par guzro to khoob charo. Sahaba (Raziyallahu Anhum) ne arz kiya: Ya Rasulullah! Jannat ke baagh kya hain? Irshaad farmaaya: Zikr ke halqe. (Tirmizi: 3510)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

March - 17

Aaj Ki Hadees
Hazrat Abu Zar (Radiyallahu 'Anhu) kehte hain ke Rasoolullah (Sallallahu-'Alaihi-Wa-Sallam) ne mujh se farmaaya: Abu Zar! Agar ilm ka ek mazmoon seekh lo, khwaah us waqt us par amal ho ya na ho (jaise paani ke hote huwe tayammum ke masaail seekhna) to hazaar rakat nawaafil padhne se afzal hai. (Ibne Maaja: 219)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

March - 18

Aaj Ki Hadees
Hadees: Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya ke jis raat mujhe Meraaj hui mera guzar ek aise groh par huwa jin ke pet gharon ki tarah hain aur un mein saanp bhare huwe hain jo baahar se nazar aate hain, mein ne Jibraeel se poochha ke yeh kaun log hain? (jo aise azaab mein mubtila hain) unhon ne batlaaya ke yeh sood khor log hain. (Ibne Maaja: 2273)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

March - 19

Aaj Ki Hadees
Hadees: Rasoolullaah ﷺ ne farmaaya: Tum aurton se (Sirf) un ke husn-o-jamaal ki wajah se shaadi na karo. Kyun ke husn-o-jamaal khatm hone waala hai aur na un ki maaldaari ki wajah se shaadi karo, mumkin hai ye maaldaari un ko nafarmaani mein mubtala karde. Albatta un se deendaari ki buniyaad par shaadi karo. (Ibne Maaja: 1859)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

March - 20

Aaj Ki Hadees
Hadees: Allah ke Rasool ﷺ ne farmaaya: (Qayaamat ke din) Saahib-e-Qur'an (Hafiz) se kaha jaayega: Qur'an padhta ja aur Jannat ke darjon par chadhta ja, aur thhaher thhaher kar padh jaisa ke tu duniya mein thhaher thhaher kar padhta tha. Bas tera maqaam wahi hoga jahaan teri aakhri aayat ki tilaawat khatam hogi. (Abu Dawud: 1464)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

March - 21

Aaj Ki Hadees
Hadees: Rasullulah ﷺ ne irshaad farmaaya: Sood khori ke 70 hisse hain, un mein se adna aur maamooli aisa hai jaise ke apni maan ke saath munh kaala kare. (Ibne Maaja: 2274)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

March - 22

Aaj Ki Hadees
Hadees: Rasullulah ﷺ ne irshaad farmaaya: Jo shakhs azaan ki aawaaz sune aur bila uzr Namaaz ke liye masjid na jaaye uski Namaaz qubool nahin hoti.
(Ibn-e-Maaja: 793)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

March - 23

Aaj Ki Hadees
Hadees: Rasullulah ﷺ ne irshaad farmaaya: Tum apni masjidon se chhote bachchon aur paagalon ko door rakho (un ko masjid mein na aane do) aur khareed-o-farokht, ladaai jhagde aur shor hangaame (masjid mein) na kiya karo. (Ibn-e-Maajah: 750)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

March - 24

Aaj Ki Hadees
Hadees: Rasullulah ﷺ ne irshaad farmaaya: Momin taana dene waala, laanat karne waala, gandi baatein karne waala aur behaya nahin hota. (Tirimizi: 1977)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

March - 25

Aaj Ki Hadees
Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu se riwaayat hai ke Rasulullah ﷺ ne farmaaya: Aurat ko pasli se paida kiya gaya hai, aur woh tujh se kabhi seedhi nahi chal sakti; lihaaza agar tu us ke andar tedhaapan hote huwe us se faaida uthaana chaahta hai to uthaale aur agar tune use seedha karne ki koshish ki, to tu use tod dega aur us ka todna talaaq hai. (Muslim: 3643)
Share on: Telegram | WhatsApp

March - 26

Aaj Ki Hadees
Huzoor ﷺ ka irshaad hai: Chaar cheezein Ambiya ki Sunnaton mein se hai: Sharm-o-Haya, Khushbu lagaana, miswaak karna aur Nikaah karna. (Tirmizi: 1080)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

March - 27

Aaj Ki Hadees
Hadees: Aadmi ka raaste se takleefdeh cheez ko hata dena sadqa hai. (Abu Dawud: 1285)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

March - 28

Aaj Ki Hadees
Hadees: Huzoor ﷺ ne farmaaya: Tum mein se koi apne doosre bhaai ki lakdi aur chhadi bhi (bagair ijaazat) na le, na hi mazaaq mein aur na hi lene ke iraade se. Aur agar kisi ne le liya ho, to us ko waapas kar de. (Tirmizi: 2160)
 
Matlab yeh hai ke lakdi aur chhadi jaisi maamooli cheez bhi ijaazat ke bagair nahin lena chaahiye, hatta ke hansi mazaaq mein bhi aisa na kare. Aur agar kisi ki koi cheez galti se leli hai, to us ko waapas kar dena chaahiye, yeh nahin samajhna chaahiye ke yeh to ek maamooli cheez hai is ko waapas karne ki kya zaroorat hai.

Share on: Email | Telegram | WhatsApp
 

March - 29

Aaj Ki Hadees
Hadees: Rasulullaah ﷺ ne irshaad farmaaya ke agar tum log Allah par aisa tawakkul aur aisa etemaad karo jaisa ke us par tawakkul karne ka haq hai to tum ko woh is tarah rozi de jis tarah parindon ko deta hai, woh subah ko bhooke apne aashiyaanon se nikalte hain aur shaam ko pet bhare waapas aate hai. (Tirmizi: 2344)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

March - 30

Aaj Ki Hadees
Huzoor ﷺ ka irshaad hai: Jab Maal-e-Ganeemat ko zaati daulat banaaya jaane lage, amaanat ko ganeemat ka maal aur Zakaat ko taawaan samajh liya jaaye, ilm ko Deen ke alaawa kisi aur maqsad ke liye seekha jaane lage, log apni biwi ki farmaanbardaari kare aur apni maan ki naafarmaani karein aur doston ko apne qareeb karein aur baap ko door karein, masjidon mein aawaazein buland hon, qabeele ki sardaari un mein ka faasiq shakhs kare, qaum ka leader un mein ka kameena aadmi ho aur aadmi ka us ke shar ke dar se ikraam kiya jaaye aur gaane waaliyaan aur raag baaje aam ho jaayein aur sharaab pi jaane lage aur Ummat ke baad waale pehle logon par laanat karein, to us waqt surkh aandhiyon, zalzalon, zameen mein dhansaaye jaane, sooraton ke maskh kiye jaane aur patthar barasne ka intezaar karo aur (un ke alaawa isi tarah ki) doosri nishaaniyon ka (intezaar karo) jo lagaataar is tarah aayeingi jaise kisi haar ke dhaage ke toot jaane par us ke daane lagaataar tootne lagte hain. (Tirmizi: 2211)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

March - 31

Aaj Ki Hadees
Hadees: Rasoolullah ﷺ ne farmaaya: Har shakhs maut ke baad afsos karega, Sahaaba (Raziyallahu Anhum) ne arz kiya: Ya Rasoolullah! Kis baat ka afsos karega? Aap ﷺ ne farmaaya: Agar nek hai, to ziyaada neki na karne ka afsos karega aur agar gunhagaar hai to gunaah se na rukne par afsos karega. (Tirimizi: 2403)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp