February - 1

Aaj Ki Hadees
Hazrat Abu Zar Raziyallahu Anhu riwaayat karte hain ke Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Sabse afzal amal Allah Ta'ala ke liye kisi se mohabbat karna aur Allah Ta'ala ke liye kisi se dushmani karna hai. (Abu Dawud: 4599)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

February - 2

Aaj Ki Hadees
Hazrat Abu Qatadah Raziyallahu Anhu farmaate hain ke Rasulullah ﷺ ko irshaad farmaate hue suna: Jo shakhs ye chahta hai ke Allah Ta'ala usko Qayamat ke din ki takleefon se bachale, to usko chahiye ke tangdast ko (jis par uska qarz waghaira ho) mohlat de de ya (apna poora mutaalba ya uska kuch hissa) mu'af karde. (Muslim: 4000)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

February - 3

Aaj Ki Hadees
Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha riwaayat karti hain ke Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Naik logon ki laghzishon ko mu'af kardiya karo, albatta agar wo koi aisa gunaah karein jis ki wajah se unpar had jaari hoti ho wo mu'af nahin ki jayegi. (Abu Dawud: 4375)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

February - 4

Aaj Ki Hadees
Hazrat Abu Hurairah Raziyallahu Anhu se riwaayat hai ke Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Momin wo hai jis se log apni jaan aur maal ke baare mein aman mein rahein. (Nisai: 4998)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

February - 5

Aaj Ki Hadees
Hazrat Abu Hurairah Raziyallahu Anhu se riwaayat hai ke Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Ek momin dusre Momin ka aaina hai aur ek Momin dusre momin ka bhai hai, uske nuqsaan ko usse rokta hai aur uski har taraf se hifaazat karta hai. (Abu Dawud: 4918)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

February - 6

Aaj Ki Hadees
Hazrat Abu Moosa Ashari Raziyallahu Anhu riwaayat karte hain ke Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Teen qism ke logon ka Ikraam karna Allah Ta'ala ki ta'zeem karne mein shaamil hai. Ek budha musalmaan, dusra wo Hafiz-e-Quran, jo aitedaal par rahe, teesra insaaf karne waala haakim. (Abu Dawud: 4843)
 
Faida: Aitedaal par rehne ka matlab ye hai ke Quran-e-Shareef ki tilaawat ka ehtemaam bhi kare aur riyaakaron ki tarah tajweed aur hurf ki adayegi mein tajawuz na kare.

Share on: Email | Telegram | WhatsApp

February - 7

Aaj Ki Hadees
Hazrat Abdullah Raziyallahu Anhu riwaayat karte hain ke Nabi Kareem ﷺ ne irshaad farmaaya: Jo shakhs kisi musibat zada ko tasalli deta hai, to usko musibat zada ki tarah sawaab milta hai. (Tirmizi: 1073)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

February - 8

Aaj Ki Hadees
Hazrat Muhammad Bin Amr Bin Hazm Raziyallahu Anhu riwaayat karte hain ke Nabi Kareem ﷺ ne irshaad farmaaya: Jo Momin apne kisi Momin bhai ki musibat mein use sabr wa sukoon ki talqeen karega, Allah Ta'ala Qayamat ke din use izzat ka libaas pehnaayeingey. (Ibne Maajah: 1601)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

February - 9

Aaj Ki Hadees
Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha riwaayat karti hain ke Nabi Kareem ﷺ ne irshaad farmaaya: Jis mayyat par musalmaanon ki ek badi jama'at Namaaz padhe jinki tadaaad sau (100) tak pahunch jaye aur wo sab Allah Ta'ala se mayyat ke liye sifaarish karein, yani maghfirat wa rehmat ki dua karein to unki sifaarish zaroor qubool hogi. (Muslim: 2198)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

February - 10

Aaj Ki Hadees
Hazrat Jarir Raziyallahu Anhu riwaayat karte hain ke Nabi Kareem ﷺ ne irshaad farmaaya: Jo shakhs narmi (ki sifat) se mehroom raha, wo (saari) bhalayi se mehroom raha. (Muslim: 6598)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

February - 11

Aaj Ki Hadees
Hazrat Bara'a Raziyallahu Anhu riwaayat karte hain ke Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Jo do musalmaan aapas mein milte hain aur musafaha karte hain to juda hone se pehle donon ke gunah mu'af kardiye jaate hain. (Abu Dawud: 5212)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

February - 12

Aaj Ki Hadees
Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Do aadmiyon ke darmiyaan mein unki ijaazat ke bagair na baitha jaye. (Abu Dawud: 4844)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

February - 13

Aaj Ki Hadees
Hazrat Abdullah Bin Umar Raziyallahu Anhuma se riwaayat hai ke Nabi Kareem ﷺ ne irshaad farmaaya: Kisi shakhs ko is baat ki ijaazat nahin ke kisi dusre ko uski jagah se utha kar khud us jagah baith jaye. (Bukhari: 6269)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

February - 14

Aaj Ki Hadees
Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu se riwaayat hai ke Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Jo shakhs apni jagah se (kisi zaroorat se) utha aur phir waapas aagaya to us jagah (baithne) ka wohi shakhs zyaada haqdaar hai. (Muslim: 5689)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

February - 15

Aaj Ki Hadees
Hazrat Umar Bin Khattab Raziyallahu Anhu riwaayat karte hain ke Nabi Kareem ﷺ ne mujhse irshaad farmaaya: Jab tum bimaar ke paas jao to usse kaho ke wo tumhare liye dua kare, kyunki uski dua farishton ki dua ki tarah (qubool hoti) hai. (Ibne Maajah: 1441)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

February - 16

Aaj Ki Hadees
Hazrat Ali Raziyallahu Anhu farmaate hain ke maine Rasulullah ﷺ ko ye irshaad farmaate hue suna: Jo musalmaan kisi musalmaan ki subah ko iyaadat karta hai to shaam tak sattar (70) hazaar farishte uske liye dua karte rehte hain aur jo shaam ko iyaadat karta hai to subah tak sattar hazar farishte uske liye dua karte rehte hain aur use jannat mein ek baagh miljaata hai. (Tirmizi: 969)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

February - 17

Aaj Ki Hadees
Hazrat Abu Hurairah Raziyallahu Anhu riwaayat karte hain ke Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Tum jannat mein nahin jaa sakte, jab tak momin na ho jao (yani tumhari zindagi imaan waali zindagi na ho jaye) aur tum us waqt tak momin nahi ho sakte, jab tak aapas mein ek dusre se mohabbat na karo. Kya main tumhe wo amal na batadun jiske karne se tumhare darmiyaan mohabbat paida hojaye? (wo ye hai ke) Salaam ko aapas mein khoob phailao. (Muslim: 194)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

February - 18

Aaj Ki Hadees
Hazrat Abu Umamah Raziyallahu Anhu riwaayat karte hain ke Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Logon mein Allah Ta'ala ke Qurb ka zyaada mustahiq wo hai, jo Salaam karne mein pahel kare. (Abu Dawud: 5197)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

February - 19

Aaj Ki Hadees
Hazrat Anas Raziyallahu Anhu farmaate hain ke muje Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Bete ! Jab tum apne ghar mein daakhil ho to ghar waalon ko Salaam karo ye tumhare liye aur tumhare ghar waalon keliye barkat ka sabab hoga. (Tirmizi: 2698)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

February - 20

Aaj Ki Hadees
Hazrat Abu Hurairah Raziyallahu Anhu se riwaayat hai ke Nabi Kareem ﷺ ne irshaad farmaaya: Chhota bade ko Salaam kare, guzarne waala baithe hue ko Salaam kare aur thode aadmi zyaada aadmiyon ko Salaam Karein. (Bukari: 6231)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

February - 21

Aaj Ki Hadees
Hazrat Abu Hurairah Raziyallahu Anhu se riwaayat hai ke Maine Rasullulah ﷺ ko ye irshaad farmaate hue suna: Ek Musalmaan ke dusre musalmaan par paanch haq hain: Salaam ka jawaab dena, beemar ki iyaadat karna, janaaze ke saath jaana, daawat qubool karna aur cheenk ne waale ke jawaab mein "Yarhamukallah" kehna. (Bukhari: 1240)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

February - 22

Aaj Ki Hadees
Hazrat Abu Sa'id Khudri aur Hazrat Abu Hurairah Raziyallahu Anhuma se riwaayat hai ke Nabi Kareem ﷺ ne irshaad farmaaya: Musalmaan jab bhi kisi thakawat, beemari, fikr, ranj wa malaal, takleef aur gham se do chaar hota hai, yahan tak ke use koi kaanta bhi chubta hai to Allah Ta'ala iski wajah se uske gunahon ko mu'af farmaadete hain. (Bukhari: 5641)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

February - 23

Aaj Ki Hadees
Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha farmaati hain ke maine Rasulullah ﷺ ko ye irshaad farmaate hue suna: Jab kisi Musalmaan ko kaanta chubta hai ya isse bhi kum koi takleef pahunchti hai to uske badle Allah Ta'ala ki taraf se uske liye ek darja likh diya jaata hai aur uska ek gunah mu'af kar diya jaata hai. (Muslim: 6561)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

February - 24

Aaj Ki Hadees
Hazrat Abu Hurairah Raziyallahu Anhu Rasulullah ﷺ se Hadees-e-Qudsi mein Apne Rabb ka ye irshaad-e-Mubarak naql farmaate hain: Jis bande ki main do mehboob tareen cheezein yani aankhein le loon aur wo us par sabr kare aur ajar wa sawaab ki ummeed rakhe to Main uske liye jannat se kam badle par raazi nahi hunga. (Tirmizi: 2401)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

February - 25

Aaj Ki Hadees
Hazrat Abu Hurairah Raziyallahu Anhu riwaayat karte hain ke Rasullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Ek darakht Musalmaanon ko takleef deta tha, ek shakhs ne aakar use kaat diya, to wo (is amal ki wajah se) jannat mein daakhil ho gaya. (Muslim: 6672)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

February - 26

Aaj Ki Hadees
Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha riwaayat karti hain ke Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Kaamil tareen Imaan waalon mein se wo shakhs hai jiske akhlaaq sabse achchhe hon aur jiska bartao apne ghar waalon ke saath sabse zyaada narm ho. (Tirmizi: 2612)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

February - 27

Aaj Ki Hadees
Hazrat Jabir Raziyallahu Anhu se riwaayat hai ke Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Tum sab mein se Mujhe zyaada mehboob aur Qayamat ke din Mere sabse qareeb wo log hongey jinke akhlaaq zyaada achchhe hongey. (Tirmizi: 2018)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

February - 28

Aaj Ki Hadees
Hazrat Nawwas Bin Saman Ansari Raziyallahu Anhu farmaate hain ke maine Rasulullah ﷺ se naiki aur gunah ke baare mein poocha: Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Naiki achchhe aklaaq ka naam hai aur gunah wo hai jo tumhare dil mein khatke aur tumhe ye baat na pasand ho ke logon ko iski khabar ho. (Muslim: 6516)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

May - 31

Aaj Ki Hadees
Hazrat Abu Sa'id Khudri Raziyallahu Anhu se riwaayat hai ke Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Jamaat se Namaaz padhne ka sawaab pachchhees (25) Namaazon ke barabar hota hai aur jab koi shakhs jungle byaaban mein Namaaz padhta hai aur uska ruku, sajda bhi pura karta hai, yani tasbihaat ko itminaan se padhta hai to us Namaaz ka sawaab Pachchhaas (50) Namaazon ke barabar pahunch jaata hai. (Abu Dawud: 560)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp