September - 01

Aaj Ki Hadees
Hazrat Jabir Bin Abdullah Raziyallahu Anhuma riwaayat karte hain ke Rasullullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Ulama par badaai jatane, bewaqufon se jhagadne yani naasamajh awaam se ulajhne aur majlisein jamane ke liye ilm hasil na karo. Jo shakhs aisa kare uske liye aag hai aag. (Ibn Majah: 254)
 
Faida: "Ilm ko majlisein jamane ke liye hasil na karo" is jumle ka matlab ye hai ke ilm ke zariye se logon ko apni zaat ki taraf mutawajjeh na karo.

Share on: Email | Telegram | WhatsApp

September - 02

Aaj Ki Hadees
Hazrat Salman Farsi Raziyallahu Anhu riwaayat karte hain ke Nabi Kareem ﷺ ne irshaad farmaaya: Bilashuba Allah Ta'ala ki zaat mein bahut zyaada haya ki sifat hai woh baghair maange bahut zyaada dene waale hain. Jab aadmi Allah Ta'ala ke saamne maangne ke liye haat uthata hai to unhe in haaton ko khali aur nakaam wapas karne se haya aati hai (isliye zaroor ataa farmane ka faisa farmaate hain). (Tirmizi: 3556)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

September - 03

Aaj Ki Hadees
Hazrat Abu Hurairah Raziyallahu Anhu se riwaayat hai ke Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Meri saari ummat jannat mein jaayegi siwaaye unlogon ke jo inkaar kadein. Sahaba Raziyallahu Anhum ne daryaaft kiya: Ya Rasulullah! (Jannat mein jaane se) kaun inkaar kar sakta hai? Aapﷺ ne jawaab mein irshaad farmaaya: Jis ne meri ita'at ki woh jannat mein daakhil hua aur jis ne meri nafarmani ki yaqeenan usne jannat mein jaane se inkar kar diya. (Bukhari: 7280)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

September - 04

Aaj Ki Hadees
Hazrat Abu Musa Raziyallahu Anhu riwaayat farmaate hain ke Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Jo do thandi Namaazein padhta hai wo jannat mein daakhil hoga. (Bukhari: 574)
 
Faida: Do thandi Namazon se muraad fajr aur asar ki Namaz hai. Fajr thande waqt ke ikhtetaam per aur asar thandak ki ibteda per ada ki jaati hai. In dono Namazon ka khaas taur par isliye zikr farmaaya ke fajr ki Namaz neend ke ghalba ki wajah se aur asar ki Namaz karobaar ki mashghuliyat ki wajah se padhna mushkil hota hai lehaza in do Namazon ka ehtemaam karne waala yaqeenan baaqi teen Namazon ka bhi ehtemaam karega. (Mirqat)

Share on: Email | Telegram | WhatsApp

September - 05

Aaj Ki Hadees
Hazrat Abu Hurairah Raziyallahu Anhu farmaate hain ke maine Rasulullah ﷺ ko ye irshaad farmaate hue suna: Ghaur se suno! Duniya aur Duniya mein jo kuch hai wo Allah Ta'ala ki rehmat se door hai, albatta Allah Ta'ala ka zikr aur woh cheezein jo Allah Ta'ala se qareeb karein (yani nek amal) aur Aalim aur Talib-e-Ilm ke ye sab cheezein Allah Ta'ala ki rehmat se door nahi hain. (Tirmizi: 2322)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

September - 06

Aaj Ki Hadees
Huzoor ﷺ ne farmaaya: Imaan ka maza us shakhs ne chakh liya, jis ne Allah ko apna Rab, Islam ko apna Deen aur Muhammad ﷺ ko apna Rasool maan kar khush ho gaya. (Muslim: 151)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

September - 07

Aaj Ki Hadees
Hadees: Allah ke Nabi ﷺ ka irshaad hai: Woh shakhs Jannat mein nahi jaayega, jis ke dil mein zarrah baraabar bhi takabbur (ghamand) hoga. (Muslim: 267)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

September - 08

Aaj Ki Hadees
Hadees: Huzoor ﷺ ne farmaaya: Aadmi ke jhoota hone ke liye yahi kaafi hai ke woh har suni sunaai baat ko bayaan karta phire. (Muslim: 8)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

September - 09

Aaj Ki Hadees
Hazrat Abu Hurairah Raziyallahu Anhu riwaayat karte hain ke Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Munafiqeen par sabse zyaada bhaari isha aur fajr ki Namaaz hai. (Muslim: 1482)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

September - 10

Aaj Ki Hadees
Huzoor ﷺ ne farmaaya: Jo shakhs mujh par ek dafa Durood padhega, Allah Ta'ala us par 10 rehmatein naazil farmaayeinge aur us ke 10 gunaah maaf kareinge aur us ke 10 darje buland kareinge. (Nasai: 1297)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

September - 11

Aaj Ki Hadees
Ek martaba Huzoor ﷺ 2 qabron ke paas se guzre, Aap ﷺ ne farmaaya ke in donon qabr waalon ko azaab ho raha hai aur yeh azaab kisi aisi cheez par nahin ho raha hai, jis ko woh chhod nahin sakte the, bila shuba in ka jurm bahot bada hai, in mein se ek apne peshaab ke chheenton se nahin bachta tha aur doosra chugli khaaya karta tha. (Bukhari: 6055)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

September - 12

Aaj Ki Hadees
Hazrat Abdullah Raziyallahu Anhu se riwaayat hai ke Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Allah Ta'ala se uska fazal maango kyunke Allah Ta'ala ko ye baat pasand hai ke unse maanga jaye aur kushadgi (ki dua ke baad kushadgi) ka intezaar karna afzal ibaadat hai. (Tirmizi: 3571)
 
Faida: Kushadgi ke intezaar ka matlab ye hai ke is baat ki umeed rakhi jaye ke jis rehmat, hidaayat, bhalayi keliye dua maangi jaa rahi hai woh In Shaa Allah zaroor hasil hogi.

Share on: Email | Telegram | WhatsApp

September - 13

Aaj Ki Hadees
Hazrat Anas Bin Malik Raziyallahu Anhu farmaate hain ke Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Gunah kabira karne waalon ke haq mein meri shafa'at sirf meri ummat ke logon keliye makhsoos hogi (doosri ummaton ke logon ke liye nahi hogi). (Tirmizi: 2435)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

September - 14

Aaj Ki Hadees
Hazrat Imran Bin Hussain Raziyallahu Anhuma riwaayat karte hain ke Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Logon ki ek jamaat jin ka laqab jahannami hoga Hazrat Muhammad ﷺ ki shafa'at par ye log dozakh se nikal kar jannat mein dakhil hongey. (Bukhari: 6566)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

September - 15

Aaj Ki Hadees
Hazrat Abu Sa'id Raziyallahu Anhu se riwaayat hai ke Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Meri Ummat mein baaz afraad woh hongey jo qaumon ki shafa'at kareingey (yani unka maqaam ye hoga ke Allah Ta'ala unko qaumon ki shafa'at ki ijaazat deingey). Baaz woh hongey jo qabile ki shafa'at kareingey, baaz woh hongey jo usbah ki shafa'at kareingey aur baaz woh hongey jo ek aadmi ki shafa'at kar sakeingey (Allah Ta'ala in sab ki sifaarishon ko qubool farmaayeingey), yahaan tak ke woh sab jannat mein pahunch jayeingey. (Tirmizi: 2440)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

September - 16

Aaj Ki Hadees
Rasoolullaah ﷺ Ne Farmaaya: Aur Logon Se Achche Akhlaaq Ke Saath Pesh Aao. (TIRMIZI: 1987)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

September - 17

Aaj Ki Hadees
Hazrat Anas Bin Malik Raziyallahu Anhu riwayat karte hain ke Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Mayyat ke saath teen cheezein jaati hain. Do Cheezein Waapas aajati hain aur ek saath rah jaati hai. Gharwaale, maal aur amaal saath jate hain. Phir ghar waale aur maal waapas aajate hain aur amaal saath rah jaata hai. (Muslim: 7424)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

September - 18

Aaj Ki Hadees
Hazrat Abu Hurairah Raziyallahu Anhu se riwaayat hai ke Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Imaan ki sattar se zyaada shaakhein hain. In mein sab se afzal shaaq "Laa ilaha illallah ka kahna hai" aur adna shaaq taklif dene waali cheezon ka raaste se hataana hai aur haya imaan ki ek (ahem) shaaq hai. (Muslim: 153)
 
Faida: Haya ki haqeeqat ye hai ke woh insaan ko ghalat kaam se bachne par aamada karti hai aur saahib-e-haq ke haq mein kotaahi karnese rokti hai.

Share on: Email | Telegram | WhatsApp

September - 19

Aaj Ki Hadees
Hazrat Umar Raziyallahu 'Anhu se riwaayat hai ke Nabi-e-Kareem ﷺ ne irshaad farmaaya: Khattaab ke bete! Jao, logon mein yeh elaan kardo ke Jannat mein sirf Imaan waale hi daakhil hongey. (Muslim: 309)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

September - 20

Aaj Ki Hadees
Hazrat 'Usman Raziyallahu 'Anhu se riwaayat hai ke Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Jis shakhs ki maut is haal mein aaye ke woh yaqeen ke saath jaanta ho ke Allah Ta'ala ke siwaa koi ma'abood nahi woh jannat mein daakhil hoga. (Muslim: 136)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

September - 21

Aaj Ki Hadees
Hazrat Itbaan Bin Malik Raziyallahu 'Anhuma se riwaayat hai ke Nabi Kareem ﷺ ne irshaad farmaaya: Aisa nahi ho sakta ke koi shakhs is baat ki gawahi de ke Allah Ta'ala ke siwaa koi ma'abood nahin aur Main (Muhammad ﷺ ) Allah Ta'ala ka Rasool hoon, phir woh jahannam mein daakhil ho ya dozakh ki aag is ko khaye. (Muslim: 149)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

September - 22

Aaj Ki Hadees
Hazrat Abu Hurairah Raziyallahu Anhu se riwaayat hai ke Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Allah Ta'ala ne Meri ummat ke (un) waswason ko mu'af farma diya hai (jo Imaan aur yaqeen ke khilaaf ya gunah ke baare mein unke dil mein baghair ekhtiyaar ke aayein) jab tak ke woh in waswason ke mutabiq amal na karlein ya unko zuban par na layein. (Bukhari: 2528)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

September - 23

Aaj Ki Hadees
Hazrat Ali Raziyallahu Anhu se riwaayat hai ke Nabi Kareem ﷺ ne irshaad farmaaya: Koi banda momin nahi ho sakta, jab tak chaar cheezon par Imaan na le aaye.
 
1) Is baat ki gawahi de ke Allah Ta'ala ke siwa koi zaat ibaadat wa bandagi ke layaq nahin aur Main (Muhammad ﷺ ) Allah Ta'ala ka Rasool hoon, unhone mujhe haq dekar bheja hai,

2) Marne par Imaan laaye,

3) Marne ke baad dubaara uthaye jaane par Imaan laye,

4) Taqdeer par Imaan laye.

(Tirmizi: 2145)

Share on: Email | Telegram | WhatsApp

September - 24

Aaj Ki Hadees
Hazrat Abu Hurairah Raziyallahu Anhu farmaate hain chand Sahaba Raziyallahu Anhum Rasulullah ﷺ ki khidmat mein haazir hue aur arz kiya: Hamare dilon mein baaz aise khayalat aate hain ke unko zubaan par laana hum bahot bura samjhte hain. Rasulullah ﷺ ne daryaft farmaaya: Kya waaqai tum un khayalat ko zubaan par laana bura samjhte ho? Arz kiya: ji haan! Aap ﷺ ne irshaad farmaaya: yahi to imaan hai. (Muslim: 340)
 
Faida: Yani jab ye waswase wa khayalat tumhein itne pareshaan karte hain ke un par yaqeen rakhna to door ki baat, un ko zubaan par laana bhi tumhe gawaara nahi, to yahi to kamal-e-imaan ki nishaani hai. (Nawawi)

Share on: Email | Telegram | WhatsApp

September - 25

Aaj Ki Hadees
Hazrat Abu Hurairah Raziyallahu Anhu se riwaayat hai ke Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Meri shafaat ka sabse zyaada nafaa uthaane waala woh shakhs hoga jo apne dil ke khuloos ke saath "La ilaha illallah" kahe. (Bukhari: 6570)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

September - 26

Aaj Ki Hadees
Hazrat 'Itban Bin Malik Ansari Raziyallahu Anhu se riwaayat hai ke Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Jo shakhs Qayamat ke din "La ilaha illallah" ko is tarha se kehta hua aaye ke is kalima ke zariye Allah Ta'ala hi ki razamandi chahta ho Allah Ta'ala uspar dozakh ki aag ko zaroor haraam farma deingey. (Bukhari: 6423)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

September - 27

Aaj Ki Hadees
Hazrat Jabir Bin Abdullah Raziyallahu Anhuma se riwaayat hai ke maine Rasulullah ﷺ ko ye irshaad farmate hue suna: Jo shakhs Allah Ta'ala se is haal mein mile ke uske saath kisi ko shareek na tehrata ho, woh jannat mein daakhil hoga aur jo shakhs Allah Ta'ala se is haal mein mile ke woh uske saath kisi ko shareek tehrata ho, woh dozakh mein daakhil hoga. (Muslim: 270)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

September - 28

Aaj Ki Hadees
Hazrat Abu Hurairah Raziyallahu Anhu Nabi Kareem ﷺ se riwaayat karte hain ke Aap ﷺ ne irshaad farmaaya: Allah Ta'ala Qayamat ke din zameen ko apne qabze mein lengey aur aasmaan ko apne dahine haath mein lapeteingey, phir farmaayeingey ke main hi baadshah hoon, kahan hain zameen ke baadshah? (Bukhari: 7382)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

September - 29

Aaj Ki Hadees
Hazrat Mu'az Bin Jabal Raziyallahu Anhu se riwaayat hai ke Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Mu'az ! tum jaante ho ke bandon par Allah Ta'ala ka kya haq hai ? aur Allah Ta'ala par bandon ka kya haq hai ? Maine arz kiya: Allah Ta'ala aur uske Rasool ziyaada jaante hain, Aap ﷺ ne irshaad farmaaya: Bandon par Allah Ta'ala ka haq ye hai ke uski ibaadat karein aur uske saath kisi ko shareek nakarein. Aur Allah Ta'ala par bandon ka haq ye hai ke jo banda uske saath kisi ko shareek na kare, use azaab na de. (Muslim: 144)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

September - 30

Aaj Ki Hadees
Hazrat Abu Moosa Asha'ri Raziyallahu Anhu se riwaayat hai ke Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Takleefdeh baat sunkar Allah Ta'ala se zyaada bardasht karne waala koi nahin hai. Mushrikeen uske bete hone ka dawa karte hain aur phir bhi woh unhein aafiyat deta hai aur rozi ataa karta hai. (Bukhari: 7378)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp