January - 1

Aaj Ki Hadees
Rasulullah ﷺ ne farmaaya: Imaan waalon mein sab se kaamil Imaan waala woh shakhs hai jis ke akhlaaq sab se achchhe hon aur tum mein sab se achchhe log woh hain, jo apni biwiyon ke haq mein akhlaaq ke etibaar se sab se achchhe hoon. (Tirmizi: 1162)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

January - 2

Aaj Ki Hadees
Rasullulah ﷺ ne farmaaya: "Jin logon ko Allah Ta'ala ne maal diya aur woh us ki Zakaat ada nahin karte, Qayaamat ke din un ka yeh maal ek bahot hi zahreele aur ganje saanp ki shakl mein saamne aayega uski aankhonke ke paas do siyah nukhte honge woh un ki gardan mein lipat jaayega aur un ke jabdon mein noch noch kar kahega. Main tumhaara jama kiya huwa maal hoon, main tumhaara khazaana hoon". (Bukhari: 1403)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

January - 3

Aaj Ki Hadees
Rasool ﷺ ne farmaaya: Jis ne shohrat ka kapda pehna, Allah Ta'ala us ko qayaamat ke din zillat wa ruswaai ka kapda pehnaaeinge. (Ibne Maaja : 3606)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

January - 4

Aaj Ki Hadees
Rasullulah ﷺ ne farmaaya: Aye aadam ke bete (insaan) ! Agar tu zaroorat se zaaid maal (bhalaai ke kaamon mein) kharch kar de toh yeh tere liye behtar hai aur agar tu use roke rakhe toh yeh tere liye bura hai. (Muslim: 2388)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

January - 5

Aaj Ki Hadees
Rasool ﷺ ne farmaaya: Jab tum kisi mareez ke paas (us ka haal poochne ke liye) jaao to us ki zindagi ke baare me tasalli ki baat kaho, kyun ke tumhaari yeh baatein agarche Allah ke faisle ko to nahin badal sakti hai magar is se mareez ka dil khush hoga. (Tirmizi: 2087)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

January - 6

Aaj Ki Hadees
Hazrat Abu Darda Raziyallahu Anhu farmaate hain ke maine Rasulullah ﷺ ko ye irshaad farmaate hue suna: Baap jannat ke darwaazon mein se behtareen darwaaza hai chunaanche tumhein ikhtiyaar hai khwaah (uski naafarmaani karke aur dil dukha ke) us darwaaze ko zaaya kar do ya (uski farmaabardaari aur usko raazi rakh kar) us darwaze ki hifaazat karo. (Tirmizi: 1900)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

January - 7

Aaj Ki Hadees
Hazrat Anas Raziyallahu Anhu se riwaayat hai ke Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: 3 khaslatein (aadatein) aisee hain ki jismein ya paida ho jayein usney Imaaan ki mithas ko pa liya. Awwal ye ki Allah aur uska Rasool uskey nazdeek sabse ziyada mehboob ban jayein, Dusrey ye ki wo kisi insaan se sirf Alllah ki Raza ke liye Muhabbat rakhey, Teesrey ye ki wo Kufr mein wapas lautney ko aisa bura jaaney jaisa ki Aag mein daley jaaney ko bura jaanta hai. (Bukhari: 16)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

January - 8

Aaj Ki Hadees
Hazrat Anas Bin Malik Raziyallahu Anhu se riwaayat hai ke Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Jo shakhs ye chahe ke uske rizq mein farakhi ki jaye aur uski umar daraaz ki jaye, usko chahiye ke apne rishtedaron ke saath sila rehmi kare. (Bukhari: 5986)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

January - 9

Aaj Ki Hadees
Hazrat Abdullah Bin Amr Raziyallahu Anhuma se riwaayat hai ke Nabi Kareem ﷺ ne irshaad farmaaya: Allah Ta'ala ki razaamandi waalid ki razaamandi mein hai aur Allah Ta'ala ki naaraazgi waalid ki naaraazgi mein hai. (Tirmizi: 1899)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

January - 10

Aaj Ki Hadees
Hazrat Abdullah Bin Umar Raziyallahu Anhuma farmaate hain ke maine Rasulullah ﷺ ko ye irshaad farmaate hue suna: Sabse badhi neki ye hai ke beta (baap ke inteqaal ke baad) baap se ta'alluq rakhne waalon ke saath achchha sulook kare. (Muslim: 6513)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

January - 11

Aaj Ki Hadees
Hazrat Abdullah Bin Masood Raziyallahu Anhu riwaayat karte hain ke Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Kya main tumhe na bataun ke wo shakhs kaun hai jo aag par haraam hoga aur jis par aag haraam hogi ? (Suno main batata hoon) dozakh ki aag haraam hai har aise shakhs par jo logon se qareeb hone waala, nihaayat narm mizaaj aur narm tabiyat ho. (Tirmizi: 2488)
 
Faida: Logon se qareeb hone waale se muraad wo shakhs hai jo narm khoi ki wajah se logon se khoob milta julta ho aur log bhi uski achchhi khaslat ki wajah se usse betakalluf aur mohabbat se milte hon. (Maariful Hadees)

Share on: Email | Telegram | WhatsApp

January - 12

Aaj Ki Hadees
Hazrat Muawiyah Raziyallahu Anhu farmaate hain ke maine Rasulullah ﷺ ko ye irshaad farmaate hue suna: Agar tum logon ke uyoob talash karoge to tum unko bigaad doge. (Abu Dawood: 4888)
 
Faida: Matlab ye hai ke logon mein uyoob ko talash karne se un mein nafrat, bughz aur bahut si buraiyan paida hongi aur mumkin hai ke logon ke uyoob talash karne aur unhein phailane se wo log zid mein gunahon par jur'aat karne lagein ye saari baatein un mein mazeed bigaad ka sabab hongi. (Bazhl-ul-Majhud)

Share on: Email | Telegram | WhatsApp

January - 13

Aaj Ki Hadees
Hazrat Abu Hurairah Raziyallahu Anhu se riwaayat hai ke ek shakhs ne Rasulullah ﷺ ki khidmat mein haazir hokar daryaft kiya: Mere husn-e-sulook ka sabse zyaada mustahiq kaun hai? Aap ﷺ ne irshaad farmaaya: Tumhari Maa. Usne poocha phir kaun? Aap ﷺ ne irshaad farmaaya: Tumhari Maa usne poocha phir kaun? Aap ﷺ ne irshaad farmaaya: Tumhari Maa usne poocha phir kaun? Aap ﷺ ne irshaad farmaaya: Phir tumhara Baap. (Bukhari: 5971)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

January - 14

Aaj Ki Hadees
Hazrat Muawiyah Raziyallahu Anhu farmaate hain ke maine Rasulullah ﷺ ko ye irshaad farmaate hue suna: Jo shakhs is baat ko pasand karta ho ke log us (ki ta'zeem) ke liye khade rahein, wo apna thikana jahannam mein banale. (Tirmizi: 2755)
 
Faida: Is waeed ka taa'lluq us surat se hai ke jab koi aadmi khud ye chaahe ke log uski ta'zeem keliye khade hon, lekin agar koi khud bilkul na chaahe, magar dusre log ikraam aur mohabbat ke jazbe mein uske liye khade hojayein, to ye aur baat hai. (Maariful Hadees)

Share on: Email | Telegram | WhatsApp

January - 15

Aaj Ki Hadees
Hazrat Safwan Bin Sulaimm Raziyallahu Anhu riwaayat karte hain ke Nabi Kareem ﷺ ne irshaad farmaya: Bewa aurat aur miskeen ki zarurat mein daudh dhoop karne waale ka sawaab Allah Ta'ala ke raaste mein jihaad karne waale ke sawaab ki tarah hai ya uska sawaab us shakhs ke sawaab ki tarah hai jo din ko roza rakhta ho aur raat bhar ibaadat karta ho. (Bukhari: 6006)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

January - 16

Aaj Ki Hadees
Hazrat Umme Salamah Raziyallahu Anha riwaayat karti hain ke Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Jis aurat ka is haal mein inteqaal ho ke uska shohar usse raazi ho to wo jannat mein jayegi. (Tirmizi: 1161)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

January - 17

Aaj Ki Hadees
Hazrat Qais Bin Saad Raziyallahu Anhu se riwaayat hai ke Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Agar main kisi ko kisi ke saamne sajda karne ka hukm deta, to aurton ko hukm deta ke wo apne shohron ko sajda karein us haq ki wajah se jo Allah Ta'ala ne unke shohron ka un par muqarrar farmaaya hai. (Abu Dawood: 2140)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

January - 18

Aaj Ki Hadees
Hazrat Abu Hurairah Raziyallahu Anhu riwaayat karte hain ke Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Momin mard ki ye shaan nahin ke apni momina biwi se bughz rakhe. Agar uski ek aadat use na pasand hogi to dusri pasandida bhi hogi. (Muslim: 3645)
 
Faida: Rasulullah ﷺ ne is Hadees-e-shareef mein husn-e-muasharat ke ek mukhtasar usool bata diya ke ek insaan mein agar koi buri aadat hai to us mein kuch khoobiyan bhi hongi, aisa kaun hoga jis mein koi burayi na ho ya koi khoobi na ho. Lihaaza buraiyon se chashm poshi ki jaye aur khoobiyon ko dekha jaye.

Share on: Email | Telegram | WhatsApp

January - 19

Aaj Ki Hadees
Hazrat Abdullah Bin Umar Raziyallahu Anhuma riwaayat karte hain ke Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Mazdoor ka pasina khushk hone se pehle us ki mazdoori de diya karo. (Ibne Majah: 2443)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

January - 20

Aaj Ki Hadees
Hazrat Sahl Raziyallahu Anhu riwaayat karte hain ke Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Main aur yateem ki kifaalat karne waala jannat mein is tarah (qareeb) honge, Nabi Kareem ﷺ ne shahadat ki aur beech ki ungli se ishaara farmaaya aur un donon ke darmiyaan thodi si kushadgi rakhi. (Bukhari: 5304)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

January - 21

Aaj Ki Hadees
Hazrat Abu Hurairah Raziyallahu Anhu riwaayat karte hain ke Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Jo shakhs logon ka shukar guzaar nahi hota, wo Allah Ta'ala ka bhi shukar adaa nahi karta. (Tirmizi: 1954)
 
Faida: Baaz shaarheen ne Hadees ka ye matlab bayan kiya hai ke jo ehsaan karne waale bandon ka shukar guzaar nahi hota wo na shukri ki is aadat ki wajah se Allah Ta'ala ka shukar guzaar bhi nahi hota.

Share on: Email | Telegram | WhatsApp

January - 22

Aaj Ki Hadees
Hazrat Abu Hurairah Raziyallahu Anhu riwaayat karte hain ke Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Jisko hadiye ke taur par khushbu daar phool pesh kiya jaye to use chahiye ke wo ise rad na kare, kyunke wo bahut halki aur kam qeemat cheez hai aur uski khushbu bhi achchhi hoti hai. (Muslim: 5883)
 
Faida: Phool jaisi kam qeemat cheez ko qubool karne se agar inkaar kiya jaye to iska bhi andesha hai ke pesh karne waale ko khayaal ho ke meri cheez kam qeemat hone ki wajah se qubool nahi ki gayi aur isse uski dilshikni ho. (Maariful Hadees)

Share on: Email | Telegram | WhatsApp

January - 23

Aaj Ki Hadees
Hazrat Abu Sayeed Khudri Raziyallahu Anhu riwaayat karte hain ke Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Jis shakhs ki teen betiyaan ya teen behnein hon ya do betiyaan ya do behnein hon aur wo unke saath achchha muaamla rakhe aur unke huqooq ke bare mein Allah Ta'ala se darta rahe to uske liye jannat hai. (Tirmizi: 1916)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

January - 24

Aaj Ki Hadees
Hazrat Ayyub Rahimahullah apne waalid se aur wo apne dada se riwaayat karte hain ke Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Kisi baap ne apni aulaad ko achchhi taaleem wa tarbiyat se behtar koi tohfa nahin diya. (Tirmizi: 1952)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

January - 25

Aaj Ki Hadees
Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha se riwaayat hai Ke ek dehaat ke rehne waale shakhs Nabi Kareem ﷺ ki khidmat mein haazir hue aur kaha ke tum log bachchon ko pyaar karte ho ? hum to inko pyaar nahin karte. Nabi Kareem ﷺ ne irshaad farmaaya: Agar Allah Ta'ala ne tumhare dil se rehmat ka ma'adda nikaal diya hai to isme mera kya ikhtiyaar hai. (Bukhari: 5998)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

January - 26

Aaj Ki Hadees
Hazrat Abu Hurairah Raziyallahu Anhu se riwaayat hai Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Wo shakhs jannat mein daakhil na ho sakega jiski shararaton se uska padosi mehfooz na ho. (Muslim: 172)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

January - 27

Aaj Ki Hadees
Hazrat Abdullah Bin Amr Raziyallahu Anhuma se riwaayat hai ke Nabi Kareem ﷺ ne irshaad farmaaya: Musalmaan wo hai jiski zubaan aur haath se musalmaan mehfooz rahein. Aur Muhajir (yani chordne waala) wo hai jo un tamaam kaamon ko chord de, jisse Allah Ta'ala ne roka hai. (Bukhari: 10)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

January - 28

Aaj Ki Hadees
Hazrat Abu Musa Raziyallahu Anhu riwaayat karte hain ke Sahaba Raziyallahu Anhum ne arz kiya: Ya Rasulullah kaun se musalmaan ka Islam afzal hai? Irshaad farmaaya: Jis (musalmaan) ki zubaan aur haath se dusre musalmaan mehfooz rahein. (Bukhari: 11)
 
Faida: Zuban se takleef pahunchane mein kisi ka mazaaq udana, tohmat lagana, bura bhala kehna aur haath se takleef pahunchane mein kisi ko nahaq maarna, kisi ka maal zulman lena waghaira umoor shaamil hain. (Fath-ul-Bari)
 
Share on: Email | Telegram | WhatsApp


January - 29

Aaj Ki Hadees
Hazrat Abdullah Bin Masud Raziyallahu Anhu se riwaayat hai ke Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Jo shakhs apni qaum ki nahaq madad karta hai wo us ount ki tarah hai jo kisi kunwe mein gir gaya ho aur usko dum se pakad kar nikaala jaa raha ho. (Abu Dawud: 5117)
 
Faida: Matlab ye hai ke jis tarah kunwe mein gire hue ount ko dum se pakad kar nikaalne ki koshish karna apne aapko befaida mushaqqat mein daalna hai, kyunke is tareeqe se ount ko kunwe se nahi nikala jaasakta isi tarah qaum ki nahaq madad karna bhi befaida hai, kyunke is tareeqe se qaum ko sahi raaste par nahin daala jaasakta. (Bazl-ul-Majhud)

Share on: Email | Telegram | WhatsApp

January - 30

Aaj Ki Hadees
Hazrat Abu Hurairah Raziyallahu Anhu riwaayat karte hain ke Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Jis se kisi muaamle mein mashwara kiya jaye us muaamle mein us par bharosa kiya gaya hai (lihaaza use chahiye ki mashwara lene waale ka raaz zaahir na kare aur wahi mashwara de jo mashwara lene waale ke liye zyaada mufeed ho). (Tirmizi: 2822)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp