April - 01

Aaj Ki Hadees
Hadees: Rasulullah ﷺ ne farmaaya: Allah Ta'ala Ke Zikr Ke Alaawah Ziyaadah Baat Naa Kiya Karo, Is Liye Ke Allah Ta'ala Ke Zikr Ke Alaawah Ziyaadah Baat Karna Dil Ki Sakhti Ka Sabab Hai, Aur Allah Ta'ala Se Sab Se Ziyaadah Door Woh Shakhs Hai Jo Sakht Dil Ho. (Tirmizi: 2411)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

April - 02

Aaj Ki Hadees
Hadees: Rasullulah ﷺ ne irshaad farmaaya: Jab momin banda koi gunah karta hai, to us ki wajah se us ke dil par ek siyaah nukta lag jaata hai phir jab woh us gunah se ruk jaata hai aur toba wa istigfaar kar leta hai, to (woh kaala nukta khatm hojaata hai aur) dil bilkul saaf hojaata hai (aur agar us ne toba wa istigfaar nahin kiya) aur mazeed gunah karta raha to dil ki woh siyaahi badhti jaati hai yahaan tak ke poore dil par chha jaati hai. (Tirimizi: 3334)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

April - 03

Aaj Ki Hadees
Hadees: Rasullullah ﷺ ne farmaaya: Zina karne waala jis waqt zina kar raha hota hai woh momin nahin reh jaata. Imaan us se alag ho jaata hai (phir baad mein jab woh zina se alag hota hai, to us ka Imaan laut aata hai) (Bukhari: 6782)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

April - 04

Aaj Ki Hadees
Hadees: Huzur ﷺ ne farmaaya: Sharm wa haya bhalaai laati hai. (Bukhari: 6117)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

April - 05

Aaj Ki Hadees
Hadees: Huzur ﷺ ne farmaaya: Haya Imaan ka ek shoba hai. (Ibne Maajah: 58)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

April - 06

Aaj Ki Hadees
Hadees: Rasullullah ﷺ ne farmaaya: Chor Imaan ki haalat mein chori nahin karta (Yaani chori ke waqt chor ka imaan nikal jaata hai, phir baad mein Imaan laut aata hai). (Abu Dawud: 4689)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

April - 07

Aaj Ki Hadees
Hadees: Hazrat Abdullah Bin Umar (Raziyallahu Anhu) se riwayat hai ke Rasool Allah (Sallallahu-Alaihi-Wa-Sallam) ne irshaad farmaaya: Jis shakhs ne ilm Allah Ta'ala ki raza ke alawa kisi aur maqsad (masalan izzat, shauhrat, maal waghaira hasil karne) keliye sikha to woh apna thikana Jahannum mein banale. (Tirmizi: 2655)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

April - 08

Aaj Ki Hadees
Hadees: Huzoor ﷺ ne irshaad farmaaya: Jo Shakhs apna kapda fakhr ke taur par ghaseet kar chalega, to Qayaamat ke din Allah Ta'ala us ki taraf (rahmat ki) nazar nahin farmaayeinge. (Bukhari: 3665)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

April - 09

Aaj Ki Hadees
Hadees: Rasoolullah (Sallallahu-Alaihi-Wa-Sallam) ne irshaad farmaaya ke jis ne meri sunnat zinda ki us ne mujh se muhabbat ki aur jis ne mujh se muhabbat ki woh Jannat mein mere saath hoga. (Tirmizi: 2678)
 
Allah Ta'ala ke yahaan wahi amal maqbool hota hai jo Huzoor (Sallallahu-Alaihi-Wa-Sallam) ke tareeqon ke mutaabiq ho. Lihaaza Huzoor (Sallallahu-Alaihi-Wa-Sallam) ke tareeqon ko jaanna aur Aap (Sallallahu-Alaihi-Wa-Sallam) ki batlaai hui duaaon, sunnaton aur aadaab ko seekhna aur un par amal karna ummat ke har fard ke liye zaroori hai.


Share on: Email | Telegram | WhatsApp

April - 10

Aaj Ki Hadees
Hadees: Huzoor ﷺ se ek shakhs ne daryaaft kiya ke ya Rasulullah ﷺ kaon sa amal behter hai? Aap ﷺ ne farmaaya: Khaana khilaana aur salaam karna, chaahe tum use pehchaante hoya na pehchaante ho. (Bukhari: 12)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

April - 11

Aaj Ki Hadees
Hadees: Ek shakhs ne Rasoolullah ﷺ se poochha: Aye Allah ke Rasool! Aulaad par maan baap ka kitna haq hai? Rasoolullah ﷺ ne farmaaya: Woh tumaari Jannat aur dozakh hain. (Ibne Maaja: 3662)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

April - 12

Aaj Ki Hadees
Huzoor ﷺ ne farmaaya: Bande ko jo halki ya sakht museebat pesh aati hai, woh us ke gunaah ka nateeja hoti hai, aur bahot saare gunaahon ko to Allah Ta'ala maaf farma dete hain. (Tirmizi: 3252)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

April - 13

Aaj Ki Hadees
Hadees: Hazrat Fazala Bin Ubaid (Raziyallahu Anhu) riwayat karte hain ke Nabi Kareem (Sallallahu-Alaihi-Wa-Sallam) ne irshaad farmaaya: Mujahid woh hai jo apne nafs se jihad kare yani nafsani khuwaishaat ke khilaf chalne ki koshish kare. (Tirmizi: 1621)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

April - 14

Aaj Ki Hadees
Hadees: Hazrat Abu Hurairah Raziyallahu 'anhu se riwaayat hai ke Rasullulah ﷺ ne irshaad farmaaya: Jo shakhs subah aur shaam masjid jaata hai Allah Ta'ala uske liye jannat mein mehmaani ka intezaam farmaate hain jitni martaba subah ya shaam masjid jaata hai utni hi martaba Allah Ta'ala uske liye mehmaani ka intezaam farmaate hain. (Bukhari: 662)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

April - 15

Aaj Ki Hadees
Hadees: Hazrat Abu Hurairah Raziyallahu 'anhu riwaayat karte hain ke Rasullulah ﷺ ne irshaad farmaaya: Kabira gunahon mein se ek badaa gunah kisi musalmaan ki izzat par nahaq hamla karna hai. (Abu Dawud: 4877)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

April - 16

Aaj Ki Hadees
Hazrat Mughirah Bin Shu'bah Raziyallahu 'anhu farmaate hain ke Rasullulah ﷺ ne irshaad farmaaya: Murdon ko bura bhala mat kaho ke isse tum zindon ko takleef pahunchaoge. (Tirmizi: 1982)
 
Faaida: Matlab ye hai ke marne waale ko bura bhala kehne se uske azeezon ko takleef hogi aur jisko bura bhala kaha gaya use koi nuqsaan nahin hoga.

Share on: Email | Telegram | WhatsApp

April - 17

Aaj Ki Hadees
Hadees: Hazrat Abdullah Bin Umar Raziyallahu 'anhuma riwaayat karte hain ke Rasullulah ﷺ ne irshaad farmaaya: Apne (musalmaan) murdon ki khoobiyan bayaan kiya karo aur unki buraiyan na bayan karo. (Abu Dawud: 4900)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

April - 18

Aaj Ki Hadees
Hadees: Hazrat Abu Sa'id Al-Khudri aur Hazrat Abu Hurairah Raziyallahu 'anhuma Rasullulah ﷺ ka irshaad naql farmaate hain ke agar aasmaan-o-zameen waale sab ke sab kisi momin ke qatl karne mein shareek hojayein to bhi Allah Ta'ala in sab ko aundhe mooh jahannam mein daal deinge. (Tirmizi: 1398)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

April - 19

Aaj Ki Hadees
Hadees: Hazrat Buraid Raziyallahu 'anhuma riwaayat karte hain ke Rasullulah ﷺ ne irshaad farmaaya: Momin ka qatl kiya jaana Allah Ta'ala ke nazdeek saari duniya ke khatm hojaane se zyaada badi baat hai. (Nisai: 3995)
 
Faaida: Matlab ye hai ke jaise duniya ka khatm ho jaana logon ke nazdeek bahut badi baat hai Allah Ta'ala ke nazdeek momin ka qatl karna usse bhi zyaada badi baat hai.

Share on: Email | Telegram | WhatsApp

April - 20

Aaj Ki Hadees
Hadees: Hazarat Abdullah Bin Umar (Radiyallahu Anhu) riwayat karte hain ke Nabi kareem (Sallallahu-Alaihi-Wa-Sallam) ne irshaad farmaya: Jis shakhs ne thodi si zameen bhi nahaq leli qayamat ke din wo iski wajha se saat zameenon tak dhansa diya jayega. (Bukhari: 2454)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

April - 21

Aaj Ki Hadees
Hadees: Hazrat Saeed bin Zaid (Raziyallahu 'Anhu) kehte hain ke Rasoolullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Jis shakhs ne baalisht bhar zameen ka koi hissa zulm ke taur par daba liya, to qayaamat ke din us ke gale mein 7 zameenon ka tauq daala jaayega. (Bukhaari: 3198)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

April - 22

Aaj Ki Hadees
Hadees: Hazrat Abu Musa Ashari Raziyallahu 'anhu se riwaayat hai ke Nabi Kareem ﷺ ne irshaad farmaaya: Bhooke ko khaana khilaao, beemaar ki ayadat karo aur (nahaq) qaidi ko rihayi dilaane ki koshish karo. (Bukhari: 5373)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

April - 23

Aaj Ki Hadees
Hadees: Hazrat 'Aishah Raziyallahu 'anha farmaati hain ke Rasulullah ﷺ hadiya qubool farmaate the aur iske jawaab mein khwaah usi waqt ya dusre waqt khud bhi ataa farmaate the. (Bukhari: 2585)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

April - 24

Aaj Ki Hadees
Hadees: Hazrat Abu Hurairah Raziyallahu 'anhu se riwaayat hai ke Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Teen duaain khaas taur par qubool ki jaati hain jin ke qubool hone mein koi shak nahi (aulaad ke haq mein) baap ki dua, musaafir ki dua aur mazloom ki dua. (Abu Dawud: 1536)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

April - 25

Aaj Ki Hadees
Hadees: Hazrat Mu'az bin jabal Raziyallahu 'anhu se riwaayat hai ke Nabi Kareem ﷺ ne irshaad farmaaya: Jo Musalmaan bhi raat ko bawazu zikr karte hue sota hai phir jab kisi waqt raat mein uski aankh khulti hai aur wo Allah Ta'ala se duniya wa aakhirat ki kisi bhi khair ka sawaal karta hai Allah Ta'ala use wo cheez zaroor ataa farmaate hain. (Abu Dawud: 5042)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

April - 26

Aaj Ki Hadees
Hadees: Hazrat Abu Qatadah Raziyallahu 'anhu riwaayat karte hain ke maine Nabi Kareem ﷺ ko irshaad farmaate hue suna: Achchha Khuwaab Allah Ta'ala ki taraf se hai aur bura khuwaab (jis mein ghabrahat ho) shaitan ki taraf se hai. Jab tum mein se koi khuwaab mein napasandida cheez dekhe to jis waqt uthe (apni bayein taraf) teen martaba thuthkaare aur us khuwaab ki burai se Allah Ta'ala ki panah maange to woh khuwaab us shakhs ko nuqsaan na pahunchayega. (Bukhari: 5747)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

April - 27

Aaj Ki Hadees
Hadees: Hazrat Abdullah Bin Umar Raziyallahu 'anhuma farmaate hain ke ek shakhs ne arz kiya: Ya Rasulullah! azaan kehne waale ham se Ajar wo swab mein badhehue hai (Kya koi aisa amal hai ke humein bhi azaan dene wali fazilat miljaaye ?) Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Wohi kalimaat kaha karo jo mu'azzin kehte hain phir jab tum azaan ka jawaab de chuka to dua maango (jo maangoge) wo diya jayega. (Abu Dawud: 524)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

April - 28

Aaj Ki Hadees
Hadees: Hazrat Anas Bin Malik Raziyallahu 'anhu se riwaayat hai ke Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Azaan aur iqaamat ke darmiyani waqt mein ki dua rad nahi hoti yani qubool hoti hai. Sahaaba-e-Kiraam Raziyallahu 'anhum ne arz kiya: Ya Rasulullah! Hum kya dua maange? Aap ﷺ ne irshaad farmaaya: Allah Ta'ala se duniya wa aakhirat ki aafiyat maanga karo. (Tirmizi: 3594)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

April - 29

Aaj Ki Hadees
Hadees: Hazrat Buraidah Raziyallahu 'anhu se riwaayat hai ke Nabi-e-Kareem ﷺ ne irshaad farmaaya: Jo log andheron mein bakasrat masjidon ko jaate rehte hain unko Qayaamat ke din poore poore Noor ki khush khabri suna dijiye. (Abu Dawud: 561)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

April - 30

Aaj Ki Hadees
Hadees: Hazrat Abu Hurairah Raziyallahu 'anhu se riwaayat hai ke Nabi Kareem ﷺ ne irshaad farmaaya: Tum mein se woh shakhs us waqt tak Namaaz ka sawaab paata rehta hai jab tak woh Namaaz ke intezaar mein rehta hai. Farishte uske liye yeh dua karte hain: Ya Allah iski maghfirat farmaiyye aur is par reham farmaiyye (Namaaz padhne ke baad bhi) jab tak Namaaz ki jagah bawazu baitha rehta hai, farishte uske liye yehi dua karte rehte hain. (Bukhari: 3229)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp