01 DEC (Aaj Ki Hadees) - Allah Ta'ala Ke Ninaanve Naam Hain

Aaj Ki Hadees
Rasulullah ﷺ ne farmaaya Beshak Allah Ta'ala ke Ninaanve naam hain. Jo Allah Ta'ala ke in naamon ko yaad karega, Jannat mein daakhil hoga. (Muslim: 6809)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

02 DEC (Aaj Ki Hadees) - Namaaz-e-Witr

Aaj Ki Hadees
Hazrat Khaarija Bin Huzaafa Raziyallahu Anhu se riwaayat hai ke ek din Rasulullah ﷺ hamaare paas tashreef laaye aur irshaad farmaaya: Allah Ta'ala ne tumhein ek aur Namaaz ata farmaai hai, Jo tumhaare liye surkh oonton se bhi (jo tumhein bahot pasand hain) behtar hai. Woh Namaaz-e-Witr hai. Allah Ta'ala ne tumhaare liye is ka waqt Namaaz-e-lsha ke baad se tulu-e-fajr (subah saadiq) tak muqarrar farmaaya hai. (Abu Daawood: 1418)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

03 DEC (Aaj Ki Hadees) - Namaaz-e-Witr Laazim Hai

Aaj Ki Hadees
Hazrat Buraida Aslami Raziyallahu Anhu farmaate hain ke main ne Rasulullah ﷺ ko farmaate huwe suna ke Namaaz-e-Witr laazim hai, jo witr ada na kare woh ham (musalmaanon) mein se nahin hai (yeh jumla Aap ﷺ ne teen martaba irshaad farmaaya). (Abu Dawood: 1419)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

04 DEC (Aaj Ki Hadees) - Qur'aan Padho

Aaj Ki Hadees
Rasulullah ﷺ ne farmaaya: Qur'aan padho, kyun ke yeh Qayaamat ke din apne padhne waalon ke liye sifaarishi ban kar aayega. (Muslim: 1874)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

05 DEC (Aaj Ki Hadees) - Jo Shakhs Isha Ki Namaaz Jamaat Ke Saath Padhe

Aaj Ki Hadees
Hazrat Usman Bin Affan Raziyallahu Anhu farmaate hain ke maine Rasulullah ﷺ ko yeh irshaad farmaate hue suna: Jo shakhs Isha ki namaaz jamaat ke saath padhe, goya usne aadhi raat ibaadat ki aur jo Fajr ki namaaz bhi jamaat ke saath padh le, goya usne puri raat ibaadat ki. (Muslim: 1491)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

06 DEC (Aaj Ki Hadees) - Allah Ta'ala Ko Sab Jagahon Se Zyaada Mehboob Masajid Hain

Aaj Ki Hadees
Hazrat Abu Hurairah Raziyallahu Anhu se riwaayat hai ke Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Allah Ta'ala ko sab jagahon se zyaada mehboob masajid hain aur sabse zyaada naapasand jagahein baazaar hain. (Muslim: 1528)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

07 DEC (Aaj Ki Hadees) - Jis Ne Qible Ki Taraf Thooka

Aaj Ki Hadees
Rasulullaah ﷺ ne farmaaya: Jis ne qible ki taraf thooka to woh Qayaamat ke din is haal me aayega keh woh thook us ki donon aankhon ke darmiyaan hoga. (Abu Dawood: 3824)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp