July - 01

Aaj Ki Hadees
 
أَنْفِقْ يَا ابْنَ آدَمَ أُنْفِقْ عَلَيْكَ
 
Anfiq yabna aadama unfiq alaika

Tarjama: Aye ibne aadam tu (logon par) kharch kar main (Allah) tujh par kharch karoonga.
(Bukhari: 5352)

Share on: Email | Telegram | WhatsApp

July - 02

Aaj Ki Hadees
 
لاَ يَدْخُلُ الْجَنَّةَ قَاطِعٌ
 
Laa yadkhulul jannata qaatiu

Tarjama: Rishta todne waala Jannat mein daakhil nahin hoga.

(Bukhari: 5984)

Share on: Email | Telegram | WhatsApp

July - 03

Aaj Ki Hadees
لاَ يُلْدَغُ الْمُؤْمِنُ مِنْ جُحْرٍ وَاحِدٍ مَرَّتَيْنِ
 
Laa yuldagulmuminu min juhrin waahidin marrataini

Tarjama: Imaan waala shakhs ek sooraakh se do martaba nahin dasa jaata.

(Bukhari: 6133)
 
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

July - 04

Aaj Ki Hadees
اَلْمُسْلِمُ مَنْ سَلِمَ الْمُسْلِمُونَ مِنْ لِّسَانِهِ وَيَدِهِ
 
Almuslimu man salimal muslimoona millisaanihee wa yadihee

Tarjama: Kaamil musalmaan woh hai jis ki zabaan aur haath se doosre musalmaan mehfooz rahein.

(Bukhari: 10)


Share on: Email | Telegram | WhatsApp

July - 05

Aaj Ki Hadees
Hazrat Umme Farwah Raziyallahu 'anha farmaati hain ke Rasullulah ﷺ se poocha gaya ke sab se afzal amal kya hai? Aap ﷺ ne irshaad farmaaya: Awwal waqt mein namaz padhna. (Abu Dawud: 426)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

July - 06

Aaj Ki Hadees
Hazrat Sahal bin Saad Raziyallahu 'anhu riwaayat karte hain ke Rasullulah ﷺ ne irshaad farmaaya: Do waqton ki duaaein rad nahin ki jaati. Ek azaan ke waqt, dusri us waqt jab ghamasaan ki ladayee shuru ho jaye. (Abu Dawud: 2540)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

July - 07

Aaj Ki Hadees
Hazrat Abu Hurairah Raziyallahu 'anhu riwaayat karte hain ke Rasullulah ﷺ ne irshaad farmaaya: Agar logon ko azaan aur pehli saff ka Sawaab malum ho jaata aur unhein Azaan aur pehli saff qura andaazi ke bagair hasil na hoti to woh zaroor qura andaazi karte. (Bukhari: 615)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

July - 08

Aaj Ki Hadees
Hazrat Abu Zarr Raziyallahu 'anhu riwaayat karte hain ke Rasullulah ﷺ ne irshaad farmaaya: Allah Ta'ala bande ki taraf us waqt tak tawajjoh farmaate hain jab tak wo namaaz mein kisi aur taraf mutawajjeh na ho. Jab banda apni tawajjoh namaaz se hataa leta hai to Allah Ta'ala bhi usse apni tawajjoh hataa lete hain. (Nasai: 1196)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

July - 09

Aaj Ki Hadees
Hazrat Huzaifa Raziyallahu 'anhu se riwaayat hai ke Nabi Kareem ﷺ ne irshaad farmaaya: Aadmi jab Namaaz padhne khada hota hai to Allah Ta'ala uski taraf poori tawajjoh farmaate hain yahan tak ke wo namaaz se faarigh hojaaye ya (Namaaz mein) koi aisa amal karle jo Namaaz ke khushu ke khilaaf ho. (Ibn-e-Maaja: 1023)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

July - 10

Aaj Ki Hadees
Hazrat 'Aishah Raziyallahu 'anha se riwaayat hai ki maine Rasullulah ﷺ se poocha ke Namaaz mein idhar udhar dekhna kaisa hai ? Irshaad farmaaya: ye shaitaan ka aadmi ki Namaaz mein se uchak lena hai. (Tirmizi: 590)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

July - 11

Aaj Ki Hadees
Hadees: Hazrat Abdullah Bin Umar Raziyallahu 'anhuma farmaate hain ke Rasullulah ﷺ irshaad farmaaya karte the: Jo shakhs wuzu hone ke bawajood taaza wuzu karta hai use das (10) nekiyaan milti hain. (Abu Dawud: 62)
 
Faida: Ulama ne likha hai ke Wazu ke Bawajood naya karne ki shart ye hai ke pehle wazu se koi ibaadat karli ho.

Share on: Email | Telegram | WhatsApp

July - 12

Aaj Ki Hadees
Hazrat Abdullah bin Amr raziyallahu 'anhuma riwayat karte hain ke Rasullulah ﷺ ne irshaad farmaaya: Rahman ki Ibaadat karte raho, khaana khilaate raho, aur Salaam phailaate raho (in Aamaal ki wajah se) Jannat mein Salaamati ke saath daakhil ho jaaoge. (Tirmizi: 1855)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

July - 13

Aaj Ki Hadees
Huzoor ﷺ ka yeh irshaad hai: Allah Ta'ala ke bahot se farishte hain, jin ka khaas kaam yeh hai ke woh zameen mein phirte rehte hain aur mera jo ummati mujh par Durood-o-salaam bhejta hai, wo mujh tak pohnchaate rehte hain. (Sunane Nasai: 1282 Abdullah رضي الله عنه)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

July - 14

Aaj Ki Hadees
Hazrat Abu Hurairah (Raziyallahu Anhu) se riwayat hai ke Nabi Kareem (Sallallahu-Alaihi-Wa-Sallam) ne irshaad farmaaya: Jo chaasht ki do rakaat padhne ka ehtemaam karta hai uske gunah mu'af kardiya jaate hain agarcha wo samundar ke jhaag ke barabar ho. (Ibn-e-Maaja: 1382)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

July - 15

Aaj Ki Hadees
Hazrat A'ishah (Raziyallahu Anha) farmati hain ke Rasoolullah (Sallallahu-Alaihi-Wa-Sallam) ko irshaad farmaate hue suna: Momin apne achche akhlaaq ki wajha se roza rakhne waale aur raat bhar ibaadat karne waale ke darje ko haasil karleta hai. (Abu Dawood: 4798)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

July - 16

Aaj Ki Hadees
Rasulullah (Sallallahu-Alaihi-Wa-Sallam) ne farmaaya: Ek faqeeh (masaail ka jaanne waala) shaitaan par hazaar aabidon se ziyaada bhaari hai. (Tirmizi: 2681)
 
Ham musalmaan hain aur musalmaan ki zimmedaari hai ke apni zindagi Allah ke hukmon aur Nabi-e-Kareem (Sallallahu-'Alaihi-Wa-Sallam) ke tareeqon ke mutaabiq guzaare, isi mein musalmaanon ki duniya aur aakhirat ki kaamyaabi hai; aur Allah ke hukmon aur Nabi (Sallallahu-'Alaihi-Wa-Sallam) ke tareeqon ko chhod kar zindagi guzaarne mein naakaami hai. Lihaaza zindagi sahi tareeqe par guzaarne ke liye masaail ka ilm haasil karna intihaai zaroori hai.


Share on: Email | Telegram | WhatsApp

July - 17

Aaj Ki Hadees
Rasoolullaah (ﷺ) ne farmaaya: Farishte taalib-e-ilm se khush hone ki wajah se apne paron ko bichha dete hain. (Abu Daawood: 3641)
 
Ilm se badh kar duniya mein koi daulat nahin aur jahaalat se badh kar duniya mein koi nuqsaan deh cheez nahi, Aalim aur jaahil donon baraabar nahin ho sakte, ilm se insaan ko izzat-o-sharaafat aur kaamiyabi milti hai, Jabke jahaalat ki wajah se insaan zaleel wa gumraah ho jaata hai, ilm hi ke zariye apne khaaliq-o-maalik ki pehchaan hoti hai, bagair ilm ke koi apne khaaliq-o-maalik ko nahin pehchaan sakta. Isi liye ummat ke har fard par zaroorat ke baqadr Deen ka ilm haasil karna farz qaraar diya gaya hai.

Share on: Email | Telegram | WhatsApp

July - 18

Aaj Ki Hadees
Hazrat Abu Hurairah Raziyallahu 'anhu se riwaayat hai ke Rasullullah ﷺ ne farmaaya: Haya Imaan se hai aur Imaan Jannat se hai, buri baat bolne se dil mein sakhti paida hoti hai aur dil ka sakht hona Jahannam mein jaane ka sabab hai. (Tirmizi: 2009)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

July - 19

Aaj Ki Hadees
Hazrat Anas Raziyallahu 'anhu se riwaayat hai ke Rasullullah ﷺ ne farmaaya: Fahash goyi har cheez ko aibdaar bana deti hai aur sharm wa haya har cheez ko khoobsoorat bana deti hai. (Ibne Maajah: 4185)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

July - 20

Aaj Ki Hadees
Huzur ﷺ ne farmaaya: Jab Allah Ta'ala kisi bande ko barbaad karna chaahta hai to us se sharm wa haya nikal jaati hai aur Khuda ka gussa us par musallat ho jaata hai aur Khuda ke nazdeek bahot hi maayoob aur bura samjh jaata hai. (Ibne Maajah: 4054)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

July - 21

Aaj Ki Hadees
Huzoor ﷺ ne farmaaya: Miswaak munh ko bahot ziyaada saaf karne waali aur Allah Ta'ala ko bahot ziyaada khush karne waali hai. (Nasai: 5)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

July - 22

Aaj Ki Hadees
Hazrat Abu Hurairah (Raziyallahu Anhu) se riwayat hai ke Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Tumhari is duniya ki aag dozakh ki aag ke sattar hisson mein se ek hissa hai. Arz kiya gaya: Ya Rasulullah! (Yehi duniya ki aag) kaafi thi. Aap ﷺ ne irshaad farmaaya: Dozakh ki aag duniya ki aag ke muqable mein unhetar (69) darja bada di gayi hai. Har darje ki hararat duniya ki aag ki hararat ke barabar hai. (Bukhari: 3265)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

July - 23

Aaj Ki Hadees
Hazrat Abdullah Bin Masood (Raziyallahu Anhu) riwayat karte hain ke Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Jo shakhs Qur'an kareem ka ek hurf padhe iske liye ek hurf ke badla ek naiki hai. Aur ek naiki ka ajar dus naiki ke barabar milta hai. Mai ye nahi kehta ke sara "Alif-laam-meem" ek hurf hai balke alif ek hurf, lam ek hurf aur meem ek hurf hai yani ye teen hurf hue is par tees (30) naikiyaan milengi. (Tirmizi: 2910)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

July - 24

Aaj Ki Hadees
Nabi-e-Kareem (Sallallahu-Alaihi-Wa-Sallam) ka irshaad hai ke Ilm waalon ke liye aasmaan-o-zameen ki saari cheezein magfirat ki dua karti hain, yahaan tak ke darya ke paani ke andar rehne waali machhliyaan bhi. (Abu Dawood: 3641)
 
Deen ki baaton ko seekhna zaroori hai aur us ke bahot fazaail hain. Jo shakhs Ilm-e-Deen haasil karta hai Allah ke yahaan us ka bada maqaam hai, saari makhlooq Ilm-e-Deen haasil karne waale ke liye magfirat ki dua karti hai.


Share on: Email | Telegram | WhatsApp

July - 25

Aaj Ki Hadees
Allah ke Rasool (Sallallahu-Alaihi-Wa-Sallam) ne farmaaya: Jis shakhs ke dil mein Qur'aan-e-Kareem ka koi hissa bhi mahfooz nahin, woh weeraan ghar ki tarah hai. (Tirmizi: 2913)
 
Qur'aan-e-Kareem ko yaad karne ka bahot bada inaam hai, Qur'aan yaad karne waale ko Allah Ta'ala Jaanat mein daakhil farmaayeinge aur us ke maan baap ko bhi qeemti taaj pehnaayeinge. Qur'aan yaad karne se insaan ka dil zinda rehta hai.

Share on: Email | Telegram | WhatsApp

July - 26

Aaj Ki Hadees
Rasoolullah (Sallallahu-Alaihi-Wa-Sallam) ne farmaaya: Meri baatein logon tak pahonchaao, agarche ek hi aayat ho. (Bukhari: 3461)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

July - 27

Aaj Ki Hadees
Nabi-e-Kareem ﷺ ka irshaad hai ke Allah Ta'ala ke yahaan sab se pasandeeda amal Dua hai. (Tirmizi: 3370)
 
Allah Ta'ala se dua maangna bahot achchhi baat hai, ham ko tamaam cheezein Allah Ta'ala hi dete hain, jo dua maangta hai Allah Ta'ala us se khush hote hai, aur uski dua qubool karte hain aur jo aadmi Allah Ta'ala se dua nahin maangta Allah Ta'ala us se naaraaz hote hai, is liye hamein Allah Ta'ala se dua maangne ki aadat daalni chaahiye.

Share on: Email | Telegram | WhatsApp

July - 28

Aaj Ki Hadees
Hazrat Ubai bin Ka'b (Raziyallahu Anhu) se riwayat hai ke Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Ek aadmi ka dusre ke saath bajamaat Namaz padhna uske akele Namaz padhne se afzal hai aur teen aadmiyon ka bajamaat Namaz padhna do aadmiyon ke bajamaat padhne se afzal hai. Is tarha jamaat ki Namaz main majmua jitna zyaada hoga itna hi Allah Ta'ala ko zyaada mehboob hai. (Abu Dawood: 554)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

July - 29

Aaj Ki Hadees
Hazrat Abu Hurairah Raziyallahu 'Anhu se riwaayat hai ke ek shakhs ne Nabi Kareem ﷺ se arz kiya ke mujhe koi waseeyat farma dijiye Aap ﷺ ne irshaad farmaaya: Ghussa na kiya karo us shakhs ne apni (wohi) darkhuwast kayi baar dohrayi Aap ﷺ ne har martaba yahi irshaad farmaaya: Ghussa na kiya karo. (Bukhari: 6116)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

July - 30

Aaj Ki Hadees
Hazrat Abu Hurairah Raziyallahu 'Anhu se riwaayat hai ke Rasullullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Taaqatwar wo nahi jo apne muqabil ko pachhaadh de balke taaqatwar wo hai jo ghusse ki haalat mein apne aap par qaabu paale. (Bukhari: 6114)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp