July - 31

Aaj Ki Hadees
Hazrat Abu Zarr Raziyallahu 'anhu se riwaayat hai ke Rasullullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Jab tum mein se kisi ko ghussa aaye aur wo khada ho to usko chahiye ke baith jaye agar baithne se ghussa chala jaye (to theek hai) warna usko chahiye ke lait jaye. (Abu Dawud: 4782)
 
Faida: Hadees shareef ka matlab ye hai ke jis haalat ki tabdeeli se zehan ko sukoon mile us haalat ko ikhtiyaar karna chahiye taake ghussa ka nuqsaan kum se kum ho. baithne ki haalat mein khade hone se kam aur laitne mein baithne se kam nuqsaan ka imkaan hai. (Mazahir-e-Haq)


Share on: Email | Telegram | WhatsApp

June - 01

Aaj Ki Hadees
إِنَّ اللهَ رَفِيْقٌ يُّحِبُّ الرِّفْقَ
 
Innallaaha rafeequin yuhibbur rifq
Tarjama: Beshak Allah Ta'ala narm hain aur narmi ko pasand karte hain.
(Bukhari: 6927)

Share on: Email | Telegram | WhatsApp

June - 02

Aaj Ki Hadees
لاَ يَرْحَمُ اللهُ مَنْ لّاَ يَرْحَمُ النَّاسَ
 
Laa yarhamullaahu mallaa yarhamunnaas
Tarjama: Allah Ta'ala aise shakhs par rahem nahin karte jo logon par rahem nahin karta.
(Bukhari: 7376)

Share on: Email | Telegram | WhatsApp

June - 03

Aaj Ki Hadees
مَنْ أَطَاعَنِيْ دَخَلَ الْجَنَّةَ
 
Man ataa'ani dakhalal jannah
Tarjama: Jo shakhs meri itaa'at karega woh Jannat mein daakhil hoga.
(Bukhari: 7280)

Hamare liye Hazrat Muhammad ﷺ ko Rasool maanna zaroori hai.

Aap ﷺ ke tareeqon par chalna zaroori hai.

Jo Aap ﷺ ke tareeqon par chalega woh Jannat mein daakhil hoga.


Share on: Email | Telegram | WhatsApp

June - 04

Aaj Ki Hadees
 
مَنْ لَّمْ يَشْكُرِ النٌَاسَ لَمْ يَشْكُرِاللَّهَ
 
Mallam yashkurinnaasa lam yashkurillaah

Tarjama: Jis ne logon ka shukriya ada nahin kiya us ne Allah ka shukriya ada nahin kiya.

(Tirmizi: 1955)

□ Shukriya ada karna achchhi aadat hai.
□ Agar koi ehsaan Kare to uska shukriya ada karna chaahiye.
□ Na shukri Allah Ta'ala ko na pasand hai.


Share on: Email | Telegram | WhatsApp

June - 05

Aaj Ki Hadees
 
إِذَااسْتَعَنْتَ فَاسْتَعِنْ بِاللهِ
 
Izasta'anta fasta'in billaah

Tarjama: Jab tum madad maango to Allah Ta'ala hi se madad maango.

(Tirmizi: 2516)

Share on: Email | Telegram | WhatsApp

June - 06

Aaj Ki Hadees
لَعَنَ اللَّهُ السَّارِقَ
 
La'anallaahus saariq

Tarjama: Allah Ta'ala chor par laanat farmaata hai.

(Bukhari: 6799)

Chori karn bahot bada gunaah hai.
Chori karne waale se Allah Ta'al bahot naaraaz hote hain.
Chori karne waala har ek ke nazdeek naapasand aur zaleel hota hai.

Share on: WhatsApp