March - 01

Aaj Ki Hadees
Hazrat Umme Salma Raziyallahu 'anha riyaayat karti hain ki Allah ke Rasool ﷺ ne irshaad farmaaya: Jis Aurat ka is haal mein inteqaal ho ki uska shohar usse raazi ho to wo jannat mein jayegi. (Tirmizi: 1161)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

March - 02

Aaj Ki Hadees
Hadees: Hazrat Waasila Bin Aqsa Raziyallahu 'Anhu riwayat karte hain ke Rasool Allah ﷺ ne Irshaad farmaya: Tum apne bhai ki kisi musibat par khushi ka izhaar na kiya karo hosakta hai ke Allah Ta'ala us par rahem farmakar usko is museebat se nijaat de dein aur tum ko museebat mein mubtela kardein. (Tirmizi: 2506)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

March - 03

Aaj Ki Hadees
Hadees: Hazrat Ibn 'Abbas Raziyallahu 'anhuma farmate hain ke maine Rasool Allah ﷺ ko ye irshaad farmate hue suna: Jo musalman kisi musalman ko kapda pehnata hai to jab tak pehenne wale ke badan par is kapde ka ek bhi tukda rehta hai pehnane waala Allah Ta'ala ki hifazat mein rehta hai. (Tirmizi: 2484)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

March - 04

Aaj Ki Hadees
Hadees: Hazrat Mu'az Bin Jabal Raziyallahu 'anhu riwayat karte hain ke Rasool Allah ﷺ ne irshaad farmaya: Jis shakhs ne apne (Musalman) bhai ko kisi aise gunah par aar dilayi jisse wo tauba kar chuka ho to wo us waqt tak nahi marega jab tak khud us gunah mein mubtela na hojaye. (Tirmizi: 2505)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

March - 05

Aaj Ki Hadees
Hadees: Hazrat Anas raziyallahu 'anhu riwaayat karte hain ke Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Imaan ki halaawat usi ko naseeb hogi jis mein teen baatein payi jaayeingi. Ek ye ke Allah Ta'ala aur uske Rasool ki Mohabbat us ke dil mein sabse zyaada ho. Doosre ye ki jis shakhs se bhi mohabbat ho sirf Allah Ta'ala hi keliye ho. Teesre ye ke Imaan ke baad kufr ki taraf palatne se usko itni nafrat aur aisi azziat ho jaisi ki aag mein daale jaane se hoti hai. (Bukhari: 16)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

March - 06

Aaj Ki Hadees
Hazrat Malik Raziyallahu 'anhu se riwayat hai ke Rasool Allah ﷺ ne irshaad farmaaya: Woh do bhooke bhediye jinhe bakriyon ke reward mein chord diya jaye bakriyon ko utna nuqsaan nahi pahunchate jitna aadmi ke deen ko, maal ki hiris aur bada banne ki chahat nuqsan pahunchati hai. (Tirmizi: 2376)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

March - 07

Aaj Ki Hadees
Hazrat Ibn Abbas Raziyallahu 'anhuma farmaate hain ke Rasool Allah ﷺ ne irshaad farmaaya: Woh shakhs humari itteba'a karne waalon mein se nahi hai jo humare chhoton par shafaqat na kare, humare badon ka ehteram na kare, naiki ka hukm na kare aur burai se mana na kare. (Tirmizi: 1921)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp