September - 24

Aaj Ki Hadees
Hazrat Abu Hurairah Raziyallahu Anhu farmaate hain chand Sahaba Raziyallahu Anhum Rasulullah ﷺ ki khidmat mein haazir hue aur arz kiya: Hamare dilon mein baaz aise khayalat aate hain ke unko zubaan par laana hum bahot bura samjhte hain. Rasulullah ﷺ ne daryaft farmaaya: Kya waaqai tum un khayalat ko zubaan par laana bura samjhte ho? Arz kiya: ji haan! Aap ﷺ ne irshaad farmaaya: yahi to imaan hai. (Muslim: 340)
 
Faida: Yani jab ye waswase wa khayalat tumhein itne pareshaan karte hain ke un par yaqeen rakhna to door ki baat, un ko zubaan par laana bhi tumhe gawaara nahi, to yahi to kamal-e-imaan ki nishaani hai. (Nawawi)

Share on: Email | Telegram | WhatsApp

September - 25

Aaj Ki Hadees
Hazrat Abu Hurairah Raziyallahu Anhu se riwaayat hai ke Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Meri shafaat ka sabse zyaada nafaa uthaane waala woh shakhs hoga jo apne dil ke khuloos ke saath "La ilaha illallah" kahe. (Bukhari: 6570)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

September - 26

Aaj Ki Hadees
Hazrat 'Itban Bin Malik Ansari Raziyallahu Anhu se riwaayat hai ke Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Jo shakhs Qayamat ke din "La ilaha illallah" ko is tarha se kehta hua aaye ke is kalima ke zariye Allah Ta'ala hi ki razamandi chahta ho Allah Ta'ala uspar dozakh ki aag ko zaroor haraam farma deingey. (Bukhari: 6423)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

September - 27

Aaj Ki Hadees
Hazrat Jabir Bin Abdullah Raziyallahu Anhuma se riwaayat hai ke maine Rasulullah ﷺ ko ye irshaad farmate hue suna: Jo shakhs Allah Ta'ala se is haal mein mile ke uske saath kisi ko shareek na tehrata ho, woh jannat mein daakhil hoga aur jo shakhs Allah Ta'ala se is haal mein mile ke woh uske saath kisi ko shareek tehrata ho, woh dozakh mein daakhil hoga. (Muslim: 270)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

September - 28

Aaj Ki Hadees
Hazrat Abu Hurairah Raziyallahu Anhu Nabi Kareem ﷺ se riwaayat karte hain ke Aap ﷺ ne irshaad farmaaya: Allah Ta'ala Qayamat ke din zameen ko apne qabze mein lengey aur aasmaan ko apne dahine haath mein lapeteingey, phir farmaayeingey ke main hi baadshah hoon, kahan hain zameen ke baadshah? (Bukhari: 7382)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

September - 29

Aaj Ki Hadees
Hazrat Mu'az Bin Jabal Raziyallahu Anhu se riwaayat hai ke Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Mu'az ! tum jaante ho ke bandon par Allah Ta'ala ka kya haq hai ? aur Allah Ta'ala par bandon ka kya haq hai ? Maine arz kiya: Allah Ta'ala aur uske Rasool ziyaada jaante hain, Aap ﷺ ne irshaad farmaaya: Bandon par Allah Ta'ala ka haq ye hai ke uski ibaadat karein aur uske saath kisi ko shareek nakarein. Aur Allah Ta'ala par bandon ka haq ye hai ke jo banda uske saath kisi ko shareek na kare, use azaab na de. (Muslim: 144)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

September - 30

Aaj Ki Hadees
Hazrat Abu Moosa Asha'ri Raziyallahu Anhu se riwaayat hai ke Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Takleefdeh baat sunkar Allah Ta'ala se zyaada bardasht karne waala koi nahin hai. Mushrikeen uske bete hone ka dawa karte hain aur phir bhi woh unhein aafiyat deta hai aur rozi ataa karta hai. (Bukhari: 7378)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp