June - 24

Aaj Ki Hadees
 
أَكْمَلُ الْمُؤْمِنِيْنَ إِيْمَانًا أَحْسَنُهُمْ خُلُقًا
 
Akmalul mu'mineena imaanan ahsanuhum khuluqan

Tarjama: Imaan waalon mein sab se kaamil Imaan waala woh shakhs hai jis ke akhlaaq sab se achchhe hon.

(Tirmizi: 1162)

Share on: Email | Telegram | WhatsApp

June - 25

Aaj Ki Hadees
 
اَلتَّاجِرُ الصَّدُوْقُ الْأَمِيْنُ مَعَ النَّبِيِّيْنَ وَالصِّدِّيْقِيْنَ وَالشُّهَدَاءِ
 
Attaajirus sadooqul ameenu ma'annabiyyeena wassiddeeqeena wash-shuhadaa

Tarjama: Sachcha amaanatdaar taajir ambiya, Siddeeqeen aur Shuhada ke saath hoga.

(Tirmizi: 1209)

Share on: Email | Telegram | WhatsApp

June - 26

Aaj Ki Hadees
رِضَى الرَّبِّ فِيْ رِضَى الْوَالِدِ
 
Rizar rabbi fee rizal waalid

Tarjama: Allah Ta'ala ki khushi waalid ki khushi mein hai.

(Tirmizi: 1899)

Share on: Email | Telegram | WhatsApp

June - 27

Aaj Ki Hadees
إِنَّمَا الْأَعْمَالُ بِالنِّيَّاتِ
 
Innamal a'amaalu binniyyaat

Tarjama: Aamaal ka daar-o-madaar niyyaton par hai.

(Bukhari: 1)

Share on: Email | Telegram | WhatsApp

June - 28

Aaj Ki Hadees
 
أَلْحَيَاءُ شُعْبَةٌ مِّنَ الْإِيْمَانِ
 
Al Hayaau shu'abatum minal imaan

Tarjama: Haya Imaan ki ek ahem shaakh hai.

(Bukhari: 9)


Share on: Email | Telegram | WhatsApp

June - 29

Aaj Ki Hadees
مَنْ سَتَرَ مُسْلِمًا سَتَرَهُ اللهُ يَوْمَ الْقِيَامَةِ
 
Man satara musliman satarahullaahu yaumal qiyaamah

Tarjama: Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Jo shakhs kisi musalmaan ke aib ko chupaata hai Allah Ta'ala Qayaamat ke din us ke aib ko chupaayega.

(Bukhari: 2442)

Share on: Email | Telegram | WhatsApp

June - 30

Aaj Ki Hadees
خَيْرُكُمْ مَنْ تَعَلَّمَ الْقُرْآنَ وَعَلَّمَهُ
 
Khairukum man ta'allamal Qur'aana wa 'allamah

Tarjama: Tum mein sab se behtar woh hai jo Qur'aan ko seekhe aur sikhaaye.

(Bukhaari: 5027)

Qur'an-e-Kareem duniya ki sab se achchhi kitaab hai, is mein achchi achchi baatein aur qisse hain. Jin ko padh kar insaan ko sukoon milta hai, aur us par amal karne se duniya-o-aakhirat mein kaamyaabi milti hai, jo aadmi Qur'aan padhta aur padhaata hai, woh sab se achchha aadmi hai.

Share on: Email | Telegram | WhatsApp