April - 24

Aaj Ki Hadees
Hadees: Hazrat Abu Hurairah Raziyallahu 'anhu se riwaayat hai ke Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Teen duaain khaas taur par qubool ki jaati hain jin ke qubool hone mein koi shak nahi (aulaad ke haq mein) baap ki dua, musaafir ki dua aur mazloom ki dua. (Abu Dawud: 1536)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

April - 25

Aaj Ki Hadees
Hadees: Hazrat Mu'az bin jabal Raziyallahu 'anhu se riwaayat hai ke Nabi Kareem ﷺ ne irshaad farmaaya: Jo Musalmaan bhi raat ko bawazu zikr karte hue sota hai phir jab kisi waqt raat mein uski aankh khulti hai aur wo Allah Ta'ala se duniya wa aakhirat ki kisi bhi khair ka sawaal karta hai Allah Ta'ala use wo cheez zaroor ataa farmaate hain. (Abu Dawud: 5042)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

April - 26

Aaj Ki Hadees
Hadees: Hazrat Abu Qatadah Raziyallahu 'anhu riwaayat karte hain ke maine Nabi Kareem ﷺ ko irshaad farmaate hue suna: Achchha Khuwaab Allah Ta'ala ki taraf se hai aur bura khuwaab (jis mein ghabrahat ho) shaitan ki taraf se hai. Jab tum mein se koi khuwaab mein napasandida cheez dekhe to jis waqt uthe (apni bayein taraf) teen martaba thuthkaare aur us khuwaab ki burai se Allah Ta'ala ki panah maange to woh khuwaab us shakhs ko nuqsaan na pahunchayega. (Bukhari: 5747)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

April - 27

Aaj Ki Hadees
Hadees: Hazrat Abdullah Bin Umar Raziyallahu 'anhuma farmaate hain ke ek shakhs ne arz kiya: Ya Rasulullah! azaan kehne waale ham se Ajar wo swab mein badhehue hai (Kya koi aisa amal hai ke humein bhi azaan dene wali fazilat miljaaye ?) Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Wohi kalimaat kaha karo jo mu'azzin kehte hain phir jab tum azaan ka jawaab de chuka to dua maango (jo maangoge) wo diya jayega. (Abu Dawud: 524)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

April - 28

Aaj Ki Hadees
Hadees: Hazrat Anas Bin Malik Raziyallahu 'anhu se riwaayat hai ke Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Azaan aur iqaamat ke darmiyani waqt mein ki dua rad nahi hoti yani qubool hoti hai. Sahaaba-e-Kiraam Raziyallahu 'anhum ne arz kiya: Ya Rasulullah! Hum kya dua maange? Aap ﷺ ne irshaad farmaaya: Allah Ta'ala se duniya wa aakhirat ki aafiyat maanga karo. (Tirmizi: 3594)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

April - 29

Aaj Ki Hadees
Hadees: Hazrat Buraidah Raziyallahu 'anhu se riwaayat hai ke Nabi-e-Kareem ﷺ ne irshaad farmaaya: Jo log andheron mein bakasrat masjidon ko jaate rehte hain unko Qayaamat ke din poore poore Noor ki khush khabri suna dijiye. (Abu Dawud: 561)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

April - 30

Aaj Ki Hadees
Hadees: Hazrat Abu Hurairah Raziyallahu 'anhu se riwaayat hai ke Nabi Kareem ﷺ ne irshaad farmaaya: Tum mein se woh shakhs us waqt tak Namaaz ka sawaab paata rehta hai jab tak woh Namaaz ke intezaar mein rehta hai. Farishte uske liye yeh dua karte hain: Ya Allah iski maghfirat farmaiyye aur is par reham farmaiyye (Namaaz padhne ke baad bhi) jab tak Namaaz ki jagah bawazu baitha rehta hai, farishte uske liye yehi dua karte rehte hain. (Bukhari: 3229)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp