March - 18

Aaj Ki Hadees
Hadees: Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya ke jis raat mujhe Meraaj hui mera guzar ek aise groh par huwa jin ke pet gharon ki tarah hain aur un mein saanp bhare huwe hain jo baahar se nazar aate hain, mein ne Jibraeel se poochha ke yeh kaun log hain? (jo aise azaab mein mubtila hain) unhon ne batlaaya ke yeh sood khor log hain. (Ibne Maaja: 2273)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

March - 19

Aaj Ki Hadees
Hadees: Rasoolullaah ﷺ ne farmaaya: Tum aurton se (Sirf) un ke husn-o-jamaal ki wajah se shaadi na karo. Kyun ke husn-o-jamaal khatm hone waala hai aur na un ki maaldaari ki wajah se shaadi karo, mumkin hai ye maaldaari un ko nafarmaani mein mubtala karde. Albatta un se deendaari ki buniyaad par shaadi karo. (Ibne Maaja: 1859)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

March - 20

Aaj Ki Hadees
Hadees: Allah ke Rasool ﷺ ne farmaaya: (Qayaamat ke din) Saahib-e-Qur'an (Hafiz) se kaha jaayega: Qur'an padhta ja aur Jannat ke darjon par chadhta ja, aur thhaher thhaher kar padh jaisa ke tu duniya mein thhaher thhaher kar padhta tha. Bas tera maqaam wahi hoga jahaan teri aakhri aayat ki tilaawat khatam hogi. (Abu Dawud: 1464)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

March - 21

Aaj Ki Hadees
Hadees: Rasullulah ﷺ ne irshaad farmaaya: Sood khori ke 70 hisse hain, un mein se adna aur maamooli aisa hai jaise ke apni maan ke saath munh kaala kare. (Ibne Maaja: 2274)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

March - 22

Aaj Ki Hadees
Hadees: Rasullulah ﷺ ne irshaad farmaaya: Jo shakhs azaan ki aawaaz sune aur bila uzr Namaaz ke liye masjid na jaaye uski Namaaz qubool nahin hoti.
(Ibn-e-Maaja: 793)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

March - 23

Aaj Ki Hadees
Hadees: Rasullulah ﷺ ne irshaad farmaaya: Tum apni masjidon se chhote bachchon aur paagalon ko door rakho (un ko masjid mein na aane do) aur khareed-o-farokht, ladaai jhagde aur shor hangaame (masjid mein) na kiya karo. (Ibn-e-Maajah: 750)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

March - 24

Aaj Ki Hadees
Hadees: Rasullulah ﷺ ne irshaad farmaaya: Momin taana dene waala, laanat karne waala, gandi baatein karne waala aur behaya nahin hota. (Tirimizi: 1977)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp