March - 25

Aaj Ki Hadees
Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu se riwaayat hai ke Rasulullah ﷺ ne farmaaya: Aurat ko pasli se paida kiya gaya hai, aur woh tujh se kabhi seedhi nahi chal sakti; lihaaza agar tu us ke andar tedhaapan hote huwe us se faaida uthaana chaahta hai to uthaale aur agar tune use seedha karne ki koshish ki, to tu use tod dega aur us ka todna talaaq hai. (Muslim: 3643)
Share on: Telegram | WhatsApp

March - 26

Aaj Ki Hadees
Huzoor ﷺ ka irshaad hai: Chaar cheezein Ambiya ki Sunnaton mein se hai: Sharm-o-Haya, Khushbu lagaana, miswaak karna aur Nikaah karna. (Tirmizi: 1080)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

March - 27

Aaj Ki Hadees
Hadees: Aadmi ka raaste se takleefdeh cheez ko hata dena sadqa hai. (Abu Dawud: 1285)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

March - 28

Aaj Ki Hadees
Hadees: Huzoor ﷺ ne farmaaya: Tum mein se koi apne doosre bhaai ki lakdi aur chhadi bhi (bagair ijaazat) na le, na hi mazaaq mein aur na hi lene ke iraade se. Aur agar kisi ne le liya ho, to us ko waapas kar de. (Tirmizi: 2160)
 
Matlab yeh hai ke lakdi aur chhadi jaisi maamooli cheez bhi ijaazat ke bagair nahin lena chaahiye, hatta ke hansi mazaaq mein bhi aisa na kare. Aur agar kisi ki koi cheez galti se leli hai, to us ko waapas kar dena chaahiye, yeh nahin samajhna chaahiye ke yeh to ek maamooli cheez hai is ko waapas karne ki kya zaroorat hai.

Share on: Email | Telegram | WhatsApp
 

March - 29

Aaj Ki Hadees
Hadees: Rasulullaah ﷺ ne irshaad farmaaya ke agar tum log Allah par aisa tawakkul aur aisa etemaad karo jaisa ke us par tawakkul karne ka haq hai to tum ko woh is tarah rozi de jis tarah parindon ko deta hai, woh subah ko bhooke apne aashiyaanon se nikalte hain aur shaam ko pet bhare waapas aate hai. (Tirmizi: 2344)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

March - 30

Aaj Ki Hadees
Huzoor ﷺ ka irshaad hai: Jab Maal-e-Ganeemat ko zaati daulat banaaya jaane lage, amaanat ko ganeemat ka maal aur Zakaat ko taawaan samajh liya jaaye, ilm ko Deen ke alaawa kisi aur maqsad ke liye seekha jaane lage, log apni biwi ki farmaanbardaari kare aur apni maan ki naafarmaani karein aur doston ko apne qareeb karein aur baap ko door karein, masjidon mein aawaazein buland hon, qabeele ki sardaari un mein ka faasiq shakhs kare, qaum ka leader un mein ka kameena aadmi ho aur aadmi ka us ke shar ke dar se ikraam kiya jaaye aur gaane waaliyaan aur raag baaje aam ho jaayein aur sharaab pi jaane lage aur Ummat ke baad waale pehle logon par laanat karein, to us waqt surkh aandhiyon, zalzalon, zameen mein dhansaaye jaane, sooraton ke maskh kiye jaane aur patthar barasne ka intezaar karo aur (un ke alaawa isi tarah ki) doosri nishaaniyon ka (intezaar karo) jo lagaataar is tarah aayeingi jaise kisi haar ke dhaage ke toot jaane par us ke daane lagaataar tootne lagte hain. (Tirmizi: 2211)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

March - 31

Aaj Ki Hadees
Hadees: Rasoolullah ﷺ ne farmaaya: Har shakhs maut ke baad afsos karega, Sahaaba (Raziyallahu Anhum) ne arz kiya: Ya Rasoolullah! Kis baat ka afsos karega? Aap ﷺ ne farmaaya: Agar nek hai, to ziyaada neki na karne ka afsos karega aur agar gunhagaar hai to gunaah se na rukne par afsos karega. (Tirimizi: 2403)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp