18 JAN (Aaj Ki Hadees) - Momin Mard Ki Ye Shaan Nahin Ke Apni Momina Biwi Se Bughz Rakhe

Aaj Ki Hadees
Hazrat Abu Hurairah Raziyallahu Anhu riwaayat karte hain ke Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Momin mard ki ye shaan nahin ke apni momina biwi se bughz rakhe. Agar uski ek aadat use na pasand hogi to dusri pasandida bhi hogi. (Muslim: 3645)
 
Faida: Rasulullah ﷺ ne is Hadees-e-shareef mein husn-e-muasharat ke ek mukhtasar usool bata diya ke ek insaan mein agar koi buri aadat hai to us mein kuch khoobiyan bhi hongi, aisa kaun hoga jis mein koi burayi na ho ya koi khoobi na ho. Lihaaza buraiyon se chashm poshi ki jaye aur khoobiyon ko dekha jaye.

Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

19 JAN (Aaj Ki Hadees) - Mazdoor Ka Pasina Khushk Hone Se Pehle Us Ki Mazdoori De Diya Karo

Aaj Ki Hadees
Hazrat Abdullah Bin Umar Raziyallahu Anhuma riwaayat karte hain ke Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Mazdoor ka pasina khushk hone se pehle us ki mazdoori de diya karo. (Ibne Majah: 2443)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

20 JAN (Aaj Ki Hadees) - Main Aur Yateem Ki Kifaalat Karne Waala Jannat Mein Is Tarah (Qareeb) Honge

Aaj Ki Hadees
Hazrat Sahl Raziyallahu Anhu riwaayat karte hain ke Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Main aur yateem ki kifaalat karne waala jannat mein is tarah (qareeb) honge, Nabi Kareem ﷺ ne shahadat ki aur beech ki ungli se ishaara farmaaya aur un donon ke darmiyaan thodi si kushadgi rakhi. (Bukhari: 5304)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

January - 21

Aaj Ki Hadees
Hazrat Abu Hurairah Raziyallahu Anhu riwaayat karte hain ke Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Jo shakhs logon ka shukar guzaar nahi hota, wo Allah Ta'ala ka bhi shukar adaa nahi karta. (Tirmizi: 1954)
 
Faida: Baaz shaarheen ne Hadees ka ye matlab bayan kiya hai ke jo ehsaan karne waale bandon ka shukar guzaar nahi hota wo na shukri ki is aadat ki wajah se Allah Ta'ala ka shukar guzaar bhi nahi hota.


Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

22 JAN (Aaj Ki Hadees) - Jisko Hadiye Ke Taur Par Khushbu Daar Phool Pesh Kiya Jaye

Aaj Ki Hadees
Hazrat Abu Hurairah Raziyallahu Anhu riwaayat karte hain ke Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Jisko hadiye ke taur par khushbu daar phool pesh kiya jaye to use chahiye ke wo ise rad na kare, kyunke wo bahut halki aur kam qeemat cheez hai aur uski khushbu bhi achchhi hoti hai. (Muslim: 5883)
 
Faida: Phool jaisi kam qeemat cheez ko qubool karne se agar inkaar kiya jaye to iska bhi andesha hai ke pesh karne waale ko khayaal ho ke meri cheez kam qeemat hone ki wajah se qubool nahi ki gayi aur isse uski dilshikni ho. (Maariful Hadees)

Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

January - 23

Aaj Ki Hadees
Hazrat Abu Sayeed Khudri Raziyallahu Anhu riwaayat karte hain ke Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Jis shakhs ki teen betiyaan ya teen behnein hon ya do betiyaan ya do behnein hon aur wo unke saath achchha muaamla rakhe aur unke huqooq ke bare mein Allah Ta'ala se darta rahe to uske liye jannat hai. (Tirmizi: 1916)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

January - 24

Aaj Ki Hadees
Hazrat Ayyub Rahimahullah apne waalid se aur wo apne dada se riwaayat karte hain ke Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Kisi baap ne apni aulaad ko achchhi taaleem wa tarbiyat se behtar koi tohfa nahin diya. (Tirmizi: 1952)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp