5:00 AM
Daily Islamic Message (DISM)
Aaj Ki Hadees
|
Hazrat Abu Musa Raziyallahu Anhu riwaayat farmaate hain ke Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Jo do thandi Namaazein padhta hai wo jannat mein daakhil hoga. (Bukhari: 574)
Faida: Do thandi Namazon se muraad fajr aur asar ki Namaz hai. Fajr
thande waqt ke ikhtetaam per aur asar thandak ki ibteda per ada ki jaati
hai. In dono Namazon ka khaas taur par isliye zikr farmaaya ke fajr ki
Namaz neend ke ghalba ki wajah se aur asar ki Namaz karobaar ki
mashghuliyat ki wajah se padhna mushkil hota hai lehaza in do Namazon ka
ehtemaam karne waala yaqeenan baaqi teen Namazon ka bhi ehtemaam
karega. (Mirqat)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp
|
0 comments:
Post a Comment