5:00 AM
Daily Islamic Message (DISM)
Aaj Ki Hadees
|
Hazrat Abu Hurairah Raziyallahu Anhu riwaayat karte hain ke Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Momin mard ki ye shaan nahin ke apni momina biwi se bughz rakhe. Agar uski ek aadat use na pasand hogi to dusri pasandida bhi hogi. (Muslim: 3645)
Faida: Rasulullah ﷺ ne is Hadees-e-shareef mein husn-e-muasharat ke
ek mukhtasar usool bata diya ke ek insaan mein agar koi buri aadat hai
to us mein kuch khoobiyan bhi hongi, aisa kaun hoga jis mein koi burayi
na ho ya koi khoobi na ho. Lihaaza buraiyon se chashm poshi ki jaye aur
khoobiyon ko dekha jaye.
Share on: Email | Telegram | WhatsApp
|
0 comments:
Post a Comment