June - 03
Tarjama: Jo shakhs meri itaa'at karega woh Jannat mein daakhil hoga. (Bukhari: 7280) Hamare liye Hazrat Muhammad ﷺ ko Rasool maanna zaroori hai. Aap ﷺ ke tareeqon par chalna zaroori hai. Jo Aap ﷺ ke tareeqon par chalega woh Jannat mein daakhil hoga. |
June - 04
Tarjama: Jis ne logon ka shukriya ada nahin kiya us ne Allah ka shukriya ada nahin kiya. (Tirmizi: 1955) □ Shukriya ada karna achchhi aadat hai. □ Agar koi ehsaan Kare to uska shukriya ada karna chaahiye. □ Na shukri Allah Ta'ala ko na pasand hai. |
June - 06
Tarjama: Allah Ta'ala chor par laanat farmaata hai. (Bukhari: 6799) Chori karn bahot bada gunaah hai. Chori karne waale se Allah Ta'al bahot naaraaz hote hain. Chori karne waala har ek ke nazdeek naapasand aur zaleel hota hai. |
June - 09
Tarjama: Rasoolullah ﷺ ne rishwat dene aur lene waale par laanat farmaai hai. (Abu Dawud: 3580) |
June - 16
Tarjama: Jo shakhs kisi musalmaan ki bechi ya khareedi hui cheez ki waapsi par raazi ho jaaye to Allah Ta'ala us ke gunaah maaf kardega (Abu Daawood: 3460) |
June - 18
Tarjama: Apne bhaai ke saath jhagda na karo. (Tirimizi: 1995) Islam ladaayi jhagde ko naapasand karta hai. Ladaayi jhagda karne waale se sab log door bhaagte hain. Ladaayi jhagde se bachne waale ko log pasand karte hain. |
June - 19
Tarjama: Dua Ibaadat ka magz hai. (Tirmizi: 3371) ▫Allah Ta'ala se dua maangna Ibaadat aur sawaab ka kaam hai. ▫Allah Ta'ala ne Qur'an-e-Kareem mein dua maangne ka hukm diya hai. ▫Har achchhe kaam se pehle Allah Ta'ala se dua karna chaahiye. Share on: Email | Telegram | WhatsApp |
June - 25
Tarjama: Sachcha amaanatdaar taajir ambiya, Siddeeqeen aur Shuhada ke saath hoga. (Tirmizi: 1209) |
June - 29
Tarjama: Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Jo shakhs kisi musalmaan ke aib ko chupaata hai Allah Ta'ala Qayaamat ke din us ke aib ko chupaayega. (Bukhari: 2442) |
June - 30
Tarjama: Tum mein sab se behtar woh hai jo Qur'aan ko seekhe aur sikhaaye. (Bukhaari: 5027) Qur'an-e-Kareem duniya ki sab se achchhi kitaab hai, is mein achchi achchi baatein aur qisse hain. Jin ko padh kar insaan ko sukoon milta hai, aur us par amal karne se duniya-o-aakhirat mein kaamyaabi milti hai, jo aadmi Qur'aan padhta aur padhaata hai, woh sab se achchha aadmi hai. |